rahega pyason se pani ka fasla kab tak
rahegā pyāsoñ se paanī kā fāsla kab tak
rahegā ghar mirā maidān-e-karbalā kab tak
tire paḌos ke patthar kabhī to jāgeñge
rahegā kāñch ke mahloñ meñ tū ḳhudā kab tak
ye zard zard sī madqūq koñpaloñ ke liye
mire badan kā rahegā shajar harā kab tak
chhupā sakūñgā kahāñ tak maiñ apnā uryāñ badan
tanī rahegī añdheroñ kī ye ridā kab tak
kisī kī zulf ke bādal ke paas baiThā huuñ
ye dekhnā hai ki barsegī ye ghaTā kab tak
na chheḌegā koī sailāb-e-ārzū 'sāġhar'
Tikegā aañkh kī putlī pe aabla kab tak
rahega pyason se pani ka fasla kab tak
rahega ghar mera maidan-e-karbala kab tak
tere paDos ke patthar kabhi to jagenge
rahega kanch ke mahlon mein tu KHuda kab tak
ye zard zard si madquq konpalon ke liye
mere badan ka rahega shajar hara kab tak
chhupa sakunga kahan tak main apna uryan badan
tani rahegi andheron ki ye rida kab tak
kisi ki zulf ke baadal ke pas baiTha hun
ye dekhna hai ki barsegi ye ghaTa kab tak
na chheDega koi sailab-e-arzu 'saghar'
Tikega aankh ki putli pe aabla kab tak
- Book : Kulliyat-e-Saghar Khayyami (Pg. 401)
- Author : Saghar Khayyami
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd. (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.