rishwat-KHor sarkari mulazmin
Interesting Fact
According to a survey conducted bby Gallup Pakistan on the occasion of the country's 40th anniversary, about of three-fourth of all government officers and employees are bribe-takers, and bribery has increased today compared to ten years ago, and the situation is deteriorating. Yet the Pakistani nation does not suffer from depression or despair.
aise gallop sarvey ko ham kah nahīñ sakte daroġh
jo ye kahtā hai ki ab rishvat ko hāsil hai faroġh
ham bhī kahte haiñ ki sach hai aaj ye sarvey zarūr
ek chauthā.ī mulāzim haiñ yahāñ rishvat se duur
ek chauthā.ī meñ bhī vo log haiñ das fīsadī
jo corruption ko usūlan bhī samajhte haiñ badī
vo usūloñ ke sabab se baat kahte haiñ kharī
ismat-e-bī-bī nahīñ hai un ko az ''be-chādarī''
baaqī aise log bhī rahmat haiñ apne daur par
jo corruption ke liye unfit haiñ tibbī taur par
vo salāhiyat jo hai shart ek rishvat-ḳhor meñ
us kī hai behad kamī un ke dil-e-kamzor meñ
so meñ das aise bhī sarkārī mulāzim haiñ ġharīb
jis idāre meñ vo naukar haiñ vo ḳhud hai bad-nasīb
pay to pābandī se miltī hai magar ill-paid haiñ
post-office meñ haiñ afsar dākiyoñ ke head haiñ
ye money-order haiñ ye bime ḳhutūt aur parcel
sirf ik tanḳhvāh puurī Daak kā nemul-badal
railway meñ jo mulāzim haiñ vo haiñ chalte hue
dekhte haiñ ḳhud bhī apnā āshiyāñ jalte hue
sabz signal hotā hai yā surḳh battī jaltī hai
rail ke ham-rāh rishvat kī bhī gaaḌī chaltī hai
mahkme vo bhī to haiñ jo toḌ dete haiñ makān
un ko rishvat ḳhuub miltī hai ye hai qudrat kī shaan
mahkme vo bhī haiñ jo haiñ pāsbāñ qānūn ke
pākī-e-dāmāñ meñ dhabbe dekhte haiñ ḳhuun ke
mujrmoñ se milte-julte naam haiñ un ko pasand
thī ḳhatā ''ambar'' kī lekin kar diyā ''qambar'' ko band
mahkama vo bhī hai jis ke ro.ab se Dartā hai shahr
us kī rag rag meñ sarāyat kar gayā rishvat kā zahr
ek mulāzim vo bhī hai tadrīs jis kā farz hai
jitnī pay hai us kī kuchh us se ziyāda qarz hai
excise aur custam se sabhī ko pyaar hai
is jagah ḳhādim frē service ko bhī tayyār hai
yuuñ bhī ik daftar ne mujh pe ḳhauf taarī kar diyā
bil raqīboñ kā thā mere naam jaarī kar diyā
ab vahāñ chaliye jahāñ wagon khaḌe haiñ maal ke
ḳhuub rishvat chal rahī hai ma.arifat dallāl ke
metrology ko rishvat bhī nahīñ detā koī
log barham haiñ ki be-notice ke bārish kyuuñ huī
kaisā daftar hai jo future ko banā detā hai past
abr kal barsā thā lekin aaj kī hai ''forecast''
aur idāroñ se nahīñ miltā jo daftar met kā
is liye darbān bhī ġhā.eb hai us ke gate kā
metrology kā afsar bhī baḌī mushkil meñ hai
vo yahāñ mausam nahīñ hai jo vahāñ file meñ hai
met-office nā-balad hai chūñki kuchh ausāf se
log rishvat māñgte haiñ met ke staff se
aise gallop sarwey ko hum kah nahin sakte darogh
jo ye kahta hai ki ab rishwat ko hasil hai farogh
hum bhi kahte hain ki sach hai aaj ye sarwey zarur
ek chauthai mulazim hain yahan rishwat se dur
ek chauthai mein bhi wo log hain das fisadi
jo corruption ko usulan bhi samajhte hain badi
wo usulon ke sabab se baat kahte hain khari
ismat-e-bi-bi nahin hai un ko az be-chadari
baqi aise log bhi rahmat hain apne daur par
jo corruption ke liye unfit hain tibbi taur par
wo salahiyat jo hai shart ek rishwat-KHor mein
us ki hai behad kami un ke dil-e-kamzor mein
so mein das aise bhi sarkari mulazim hain gharib
jis idare mein wo naukar hain wo KHud hai bad-nasib
pay to pabandi se milti hai magar ill-paid hain
post-office mein hain afsar dakiyon ke head hain
ye money-order hain ye bime KHutut aur parcel
sirf ek tanKHwah puri Dak ka nemul-badal
railway mein jo mulazim hain wo hain chalte hue
dekhte hain KHud bhi apna aashiyan jalte hue
sabz signal hota hai ya surKH batti jalti hai
rail ke ham-rah rishwat ki bhi gaDi chalti hai
mahkme wo bhi to hain jo toD dete hain makan
un ko rishwat KHub milti hai ye hai qudrat ki shan
mahkme wo bhi hain jo hain pasban qanun ke
paki-e-daman mein dhabbe dekhte hain KHun ke
mujrmon se milte-julte nam hain un ko pasand
thi KHata ambar ki lekin kar diya qambar ko band
mahkama wo bhi hai jis ke roab se Darta hai shahr
us ki rag rag mein sarayat kar gaya rishwat ka zahr
ek mulazim wo bhi hai tadris jis ka farz hai
jitni pay hai us ki kuchh us se ziyaada qarz hai
excise aur custam se sabhi ko pyar hai
is jagah KHadim free serwice ko bhi tayyar hai
yun bhi ek daftar ne mujh pe KHauf tari kar diya
bil raqibon ka tha mere nam jari kar diya
ab wahan chaliye jahan wagon khaDe hain mal ke
KHub rishwat chal rahi hai marifat dallal ke
metrology ko rishwat bhi nahin deta koi
log barham hain ki be-notice ke barish kyun hui
kaisa daftar hai jo future ko bana deta hai past
abr kal barsa tha lekin aaj ki hai forecast
aur idaron se nahin milta jo daftar met ka
is liye darban bhi ghaeb hai us ke gate ka
metrology ka afsar bhi baDi mushkil mein hai
wo yahan mausam nahin hai jo wahan file mein hai
met-office na-balad hai chunki kuchh ausaf se
log rishwat mangte hain met ke staff se
- Book : Feesabilillah (Pg. 91)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.