sahab ki bipta
ḳhānsāmāñ hai musir har shab chikan banvā.iye
hāzirī par ''hāzir o ġhā.eb TamāTar'' khā.iye
jeb kahtī hai chhurī kāñTe faqat khaḌkā.iye
lunch pe shaljam dinner meñ tauriyāñ farmā.iye
matbaḳhoñ meñ būe-jūe-mūliyāñ Tan-Tan miyāñ
dev kī nandan ho yā gul-sher-ḳhāñ Tan-Tan miyāñ
khurdure polish se ḳhasta boot chamkā.eñge kyā
''taḳht-poshī darziyoñ'' se suiT sil jā.eñge kyā
ham ne ye maanā ki dillī meñ raheñ khā.eñge kyā
bīviyoñ ko koī samjhā.e ki samjhā.eñge kyā
baj rahī haiñ jin kī ḳhālī chūḌiyāñ Tan-Tan miyāñ
dev kī nandan ho yā gul-sher-ḳhāñ Tan-Tan miyāñ
mil gayā bañgla muqaddar se to hariyālī nahīñ!
hazrat vaalā ne kuttī ghaas tak paalī nahīñ
is bayābāñ meñ koī buuTā nahīñ Daalī nahīñ
aah ye koThī ki vīrāñ hai magar ḳhālī nahīñ
luT ga.e sab is ke ''gamle gamliyāñ'' Tan-Tan miyāñ
dev kī nandan ho yā gul-sher-ḳhāñ Tan-Tan miyāñ
leaderī kā shauq zauq-e-mīnā-bāzārī bhī hai
ghar kī majbūrī bhī jym-ḳhāne kī lāchārī bhī hai
film par tanqīd farmāne kī bīmārī bhī hai
har adā begam kī mahñgī hai magar pyārī bhī hai
ishq aur andesha-e-sūd-o-ziyāñ Tan-Tan miyāñ
dev kī nandan ho yā gul-sher-ḳhāñ Tan-Tan miyāñ
vālid-e-mājid kā tanz-e-talḳh-o-paiham aur ham
māmtā kā dīda-e-bedār pur-nam aur ham
mustaqil rūThī huī begam kī bam-bam aur ham
ghar meñ hai phailī huī aulād-e-ādam aur ham
sargirāñ haiñ jin kī mailī Topiyāñ Tan-Tan miyāñ
dev kī nandan ho yā gul-sher-ḳhāñ Tan-Tan miyāñ
ho chuke haiñ jab se nainital o dehradōn band
box meñ haiñ jodhpurī coat aur patlūn band
sāġhar o miinā meñ ajmal-ḳhān kī mājūn band
sub.h ke mazmūn sākit shaam ke shab-ḳhūn band
jaao jamunā par bajāo ghanTiyāñ Tan-Tan miyāñ
dev kī nandan ho yā gul-sher-ḳhāñ Tan-Tan miyāñ
yād-e-ayyāme ki bāzāroñ meñ arzānī bhī thī
nau-e-insānī meñ kuchh taufīq-e-nādānī bhī thī
naukrī meñ bandagī to thī sulaimānī bhī thī
din kī mehnat thī magar rātoñ kī sultānī bhī thī
ai mire dil! Tan-Tanan! ai merī jaañ Tan-Tan miyāñ
dev kī nandan ho yā gul-sher-ḳhāñ Tan-Tan miyāñ
KHansaman hai musir har shab chikan banwaiye
haziri par hazir o ghaeb TamaTar khaiye
jeb kahti hai chhuri kanTe faqat khaDkaiye
lunch pe shaljam dinner mein tauriyan farmaiye
matbaKHon mein bue-jue-muliyan Tan-Tan miyan
dew ki nandan ho ya gul-sher-KHan Tan-Tan miyan
khurdure polish se KHasta boot chamkaenge kya
taKHt-poshi darziyon se suiT sil jaenge kya
hum ne ye mana ki dilli mein rahen khaenge kya
biwiyon ko koi samjhae ki samjhaenge kya
baj rahi hain jin ki KHali chuDiyan Tan-Tan miyan
dew ki nandan ho ya gul-sher-KHan Tan-Tan miyan
mil gaya bangla muqaddar se to hariyali nahin!
hazrat wala ne kutti ghas tak pali nahin
is bayaban mein koi buTa nahin Dali nahin
aah ye koThi ki viran hai magar KHali nahin
luT gae sab is ke gamle gamliyan Tan-Tan miyan
dew ki nandan ho ya gul-sher-KHan Tan-Tan miyan
leaderi ka shauq zauq-e-mina-bazari bhi hai
ghar ki majburi bhi jym-KHane ki lachaari bhi hai
film par tanqid farmane ki bimari bhi hai
har ada begam ki mahngi hai magar pyari bhi hai
ishq aur andesha-e-sud-o-ziyan Tan-Tan miyan
dew ki nandan ho ya gul-sher-KHan Tan-Tan miyan
walid-e-majid ka tanz-e-talKH-o-paiham aur hum
mamta ka dida-e-bedar pur-nam aur hum
mustaqil ruThi hui begam ki bam-bam aur hum
ghar mein hai phaili hui aulad-e-adam aur hum
sargiran hain jin ki maili Topiyan Tan-Tan miyan
dew ki nandan ho ya gul-sher-KHan Tan-Tan miyan
ho chuke hain jab se nainital o dehradoon band
box mein hain jodhpuri coat aur patlun band
saghar o mina mein ajmal-KHan ki majun band
subh ke mazmun sakit sham ke shab-KHun band
jao jamuna par bajao ghanTiyan Tan-Tan miyan
dew ki nandan ho ya gul-sher-KHan Tan-Tan miyan
yaad-e-ayyame ki bazaron mein arzani bhi thi
nau-e-insani mein kuchh taufiq-e-nadani bhi thi
naukri mein bandagi to thi sulaimani bhi thi
din ki mehnat thi magar raaton ki sultani bhi thi
ai mere dil! Tan-Tanan! ai meri jaan Tan-Tan miyan
dew ki nandan ho ya gul-sher-KHan Tan-Tan miyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.