sanam ke jaur-e-taghaful ka kuchh hisab nahin
sanam ke jaur-e-taġhāful kā kuchh hisāb nahīñ
hazār taar ravāna karo javāb nahīñ
Tapak paḌī hai tire muñh se raal kyuuñ ai jaañ
ye hai mirā jigar-e-soḳhta kabāb nahīñ
ruḳh-e-habīb pe parda paḌā hai powder kā
vo be-naqāb bhī hai phir bhī be-naqāb nahīñ
tum is ġharīb ko karte ho kyuuñ sadā pāmāl
ye merā dil hai slēper nahīñ jurāb nahīñ
gilās uThāo piyo bad-gumāniyāñ na karo
ye ras-bharī hai mirī jaañ koī sharāb nahīñ
pahan ke aa.e haiñ vo gas-mask mere ghar
vo sāmne haiñ nazar phir bhī kāmyāb nahīñ
sanam ke jaur-e-taghaful ka kuchh hisab nahin
hazar tar rawana karo jawab nahin
Tapak paDi hai tere munh se ral kyun ai jaan
ye hai mera jigar-e-soKHta kabab nahin
ruKH-e-habib pe parda paDa hai powder ka
wo be-naqab bhi hai phir bhi be-naqab nahin
tum is gharib ko karte ho kyun sada pamal
ye mera dil hai sleeper nahin jurab nahin
gilas uThao piyo bad-gumaniyan na karo
ye ras-bhari hai meri jaan koi sharab nahin
pahan ke aae hain wo gas-mask mere ghar
wo samne hain nazar phir bhi kaamyab nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.