sar pe chaDha rakha hai
maiñ ne pūchhā ki ye kyā haal banā rakhā hai
na to make-up hai na bāloñ ko sajā rakhā hai
chheḌtī rahtī haiñ aksar lab-o-ruḳhsāroñ ko
tum ne zulfoñ ko bahut sar pe chaḌhā rakhā hai
muskurāte hue us ne ye kahā shoḳhī se
ek dīvāne ne dīvāna banā rakhā hai
jeb ġhā.eb hai to nefā hai baTan ke badle
tum ne patlūn kā pājāma banā rakhā hai
mashriqī rehn-sahn chāl-o-chalan maġhrib kā
ham ne tahzīb kā shīr-ḳhurma banā rakhā hai
gar sila doge mujhe merī vafāoñ ke evaz
maañg lūñgā tumheñ in.aam meñ kyā rakhā hai
jo sabhī dekh chuke ham vo nahīñ dekheñge
vo dikhāo hameñ jo sab se chhupā rakhā hai
un ko aġhyār mohabbat se lagāte haiñ gale
mujh ko apnoñ ne bhī begāna banā rakhā hai
zindagī maut kī tamhīd hai par logoñ ne
muḳhtasar baat kā afsāna banā rakhā hai
log bhūleñ na kabhī aisā taḳhallus rakhiye
naam to naam hai bas naam meñ kyā rakhā hai
qāfiye aur radīfoñ-o-taḳhallus ke sivā
'ḳhvāh-maḳhvāh' aap ke ash.ār meñ kyā rakhā hai
main ne puchha ki ye kya haal bana rakha hai
na to make-up hai na baalon ko saja rakha hai
chheDti rahti hain aksar lab-o-ruKHsaron ko
tum ne zulfon ko bahut sar pe chaDha rakha hai
muskuraate hue us ne ye kaha shoKHi se
ek diwane ne diwana bana rakha hai
jeb ghaeb hai to nefa hai baTan ke badle
tum ne patlun ka pajama bana rakha hai
mashriqi rehn-sahn chaal-o-chalan maghrib ka
hum ne tahzib ka shir-KHurma bana rakha hai
gar sila doge mujhe meri wafaon ke ewaz
mang lunga tumhein inam mein kya rakha hai
jo sabhi dekh chuke hum wo nahin dekhenge
wo dikhao hamein jo sab se chhupa rakha hai
un ko aghyar mohabbat se lagate hain gale
mujh ko apnon ne bhi begana bana rakha hai
zindagi maut ki tamhid hai par logon ne
muKHtasar baat ka afsana bana rakha hai
log bhulen na kabhi aisa taKHallus rakhiye
nam to nam hai bas nam mein kya rakha hai
qafiye aur radifon-o-taKHallus ke siwa
'KHwah-maKHwah' aap ke ashaar mein kya rakha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.