shadi ke baad
shādī to ho ga.ī hai magar ab ye haal hai
pocket meñ koī paisa nahīñ bas rumāl hai
ninnānve ke pher meñ aise phañse ki ab
begam kī koī fikr na apnā ḳhayāl hai
tanḳhvāh kam hai aur bahut ghar kā ḳharch hai
din-rāt bas zabān pe ye hī savāl hai
durgat bane hai chaa.e meñ biscuit kī jis tarah
shādī ke ba.ad logo vahī merā haal hai
Dartā huuñ yuuñ ki DaañT na paḌ jaa.e phir kahīñ
begam kī baat Tālūñ mirī kyā majāl hai
begam kī la.an-ta.an hai aur merī shā.erī
ik sher ghar meñ baiTh ke kahnā muhāl hai
kahtī hai mujh se jhoñk do chūlhe meñ shā.erī
ye shā.erī nahīñ mirī sautan chhināl hai
shadi to ho gai hai magar ab ye haal hai
pocket mein koi paisa nahin bas rumal hai
ninnanwe ke pher mein aise phanse ki ab
begam ki koi fikr na apna KHayal hai
tanKHwah kam hai aur bahut ghar ka KHarch hai
din-raat bas zaban pe ye hi sawal hai
durgat bane hai chae mein biscuit ki jis tarah
shadi ke baad logo wahi mera haal hai
Darta hun yun ki DanT na paD jae phir kahin
begam ki baat Talun meri kya majal hai
begam ki lan-tan hai aur meri shaeri
ek sher ghar mein baiTh ke kahna muhaal hai
kahti hai mujh se jhonk do chulhe mein shaeri
ye shaeri nahin meri sautan chhinal hai
- Book : Post Martum (Pg. 126)
- Author : Nashtar Amrohvi
- Publication : M.R. Publications (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.