shadi ke jo afsane hain rangin bahut hain
shādī ke jo afsāne haiñ rañgīn bahut haiñ
lekin jo haqā.eq haiñ vo sañgīn bahut haiñ
iblīs bichāre hī ko be-kār na koso
insān ke andar bhī shayātīn bahut haiñ
baḳhshīsh kī sūrat unheñ dete raho rishvat
sarkār ke daftar meñ masākīn bahut haiñ
is daur ke mardoñ kī jo kī shakl-shumārī
sābit huā duniyā meñ ḳhvātīn bahut haiñ
jab hazrat-e-nāseh ne kiyā murġh tanāvul
farmāyā ki dāloñ meñ protein bahut haiñ
mahsūs huā sun ke taqārīr-e-muġhallaz
ab ahl-e-siyāsat meñ bhī chirkīn bahut haiñ
tanḳhvāh kā ho jā.egā pal bhar meñ kabāḌā
begam tirī farmā.isheñ do tiin bahut haiñ
ḳhadsha hai ki us shoḳh kā baḌh jaa.e na B.P
'shāhid' tire ash.ār jo namkīn bahut haiñ
shadi ke jo afsane hain rangin bahut hain
lekin jo haqaeq hain wo sangin bahut hain
iblis bichaare hi ko be-kar na koso
insan ke andar bhi shayatin bahut hain
baKHshish ki surat unhen dete raho rishwat
sarkar ke daftar mein masakin bahut hain
is daur ke mardon ki jo ki shakl-shumari
sabit hua duniya mein KHwatin bahut hain
jab hazrat-e-naseh ne kiya murgh tanawul
farmaya ki dalon mein protein bahut hain
mahsus hua sun ke taqarir-e-mughallaz
ab ahl-e-siyasat mein bhi chirkin bahut hain
tanKHwah ka ho jaega pal bhar mein kabaDa
begam teri farmaishen do tin bahut hain
KHadsha hai ki us shoKH ka baDh jae na BP
'shahid' tere ashaar jo namkin bahut hain
- Book : Anwar Masood Se Khalid Masood Tak (Pg. 33)
- Author : Hassan Abbasi
- Publication : Nastaleeq Matbuaat (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.