shairi mein ek tamasha ab wo dikhlane ko hai
shā.irī meñ ik tamāsha ab vo dikhlāne ko hai
maar kar merī ġhazal mahfil pe chhā jaane ko hai
saare ullū kyā kareñge sochtā huuñ raat bhar
tīrgī kā raaj ab duniyā se miT jaane ko hai
bad-duā hai husn vāloñ kī jo hai āshob-e-chashm
un ko dekhā pyaar se aur aañkh ab aane ko hai
ab tarannum kī rivāyat bhī purānī ho ga.ī
ek shā.ir apnī ġhazleñ saaz par gaane ko hai
shā.irī meñ bhī siyāsat ghus ga.ī hai dosto
pārTī baazī yahāñ bhī jaal phailāne ko hai
hosh uḌātī hai girānī saare mai-ḳhvāroñ ke aaj
kaun kahtā hai sharaf hāsil ye mai-ḳhāne ko hai
bhuuk kī jānib na jaa.e zehn bachchoñ kā mire
is liye T V mirā ab dil ke bahlāne ko hai
hai bajaT ghāTe meñ jurmāne zarūrī haiñ yahāñ
is liye sarkār merī luuT kar khāne ko hai
ahl-e-fan sab jā rahe haiñ chhoḌ kar duniyā 'rahīm'
shā.irī meñ ab tumhārī daal gal jaane ko hai
shairi mein ek tamasha ab wo dikhlane ko hai
mar kar meri ghazal mahfil pe chha jaane ko hai
sare ullu kya karenge sochta hun raat bhar
tirgi ka raj ab duniya se miT jaane ko hai
bad-dua hai husn walon ki jo hai aashob-e-chashm
un ko dekha pyar se aur aankh ab aane ko hai
ab tarannum ki riwayat bhi purani ho gai
ek shair apni ghazlen saz par gane ko hai
shairi mein bhi siyasat ghus gai hai dosto
parTi bazi yahan bhi jal phailane ko hai
hosh uDati hai girani sare mai-KHwaron ke aaj
kaun kahta hai sharaf hasil ye mai-KHane ko hai
bhuk ki jaanib na jae zehn bachchon ka mere
is liye T V mera ab dil ke bahlane ko hai
hai bajaT ghaTe mein jurmane zaruri hain yahan
is liye sarkar meri luT kar khane ko hai
ahl-e-fan sab ja rahe hain chhoD kar duniya 'rahim'
shairi mein ab tumhaari dal gal jaane ko hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.