shab ko daliya dala kare koi
shab ko daliyā dalā kare koī
sub.h ko nāshta kare koī
is kā bhī faisla kare koī
kis se kitnī hayā kare koī
aadmī se sulūk duniyā kā
jaise anDā talā kare koī
chiiz miltī hai sarf kī had tak
apnā chamcha baḌā kare koī
baat vo jo kaho sar-e-darbār
ishq jo barmalā kare koī
sochtā huuñ ki is zamāne meñ
daadī ammāñ ko kyā kare koī
jis se ghar hī chale na mulk chale
aisī ta.alīm kyā kare koī
dil bhī ik shahr hai yahāñ bhī kabhī
omnī bas chalā kare koī
aisī qismat kahāñ 'zamīr' apnī
aa ke pīchhe se ''tā'' kare koī
shab ko daliya dala kare koi
subh ko nashta kare koi
is ka bhi faisla kare koi
kis se kitni haya kare koi
aadmi se suluk duniya ka
jaise anDa tala kare koi
chiz milti hai sarf ki had tak
apna chamcha baDa kare koi
baat wo jo kaho sar-e-darbar
ishq jo barmala kare koi
sochta hun ki is zamane mein
dadi amman ko kya kare koi
jis se ghar hi chale na mulk chale
aisi talim kya kare koi
dil bhi ek shahr hai yahan bhi kabhi
omni bas chala kare koi
aisi qismat kahan 'zamir' apni
aa ke pichhe se ta kare koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.