shaiḳh aa.e jo mahshar meñ to a.amāl nadārat
jis maal ke tājir the vahī maal nadārat
kuchh hotā rahegā yūñhī har saal nadārat
tibbat kabhī ġhā.eb kabhī nepal nadārat
rūmāl jo milte the to thī raal nadārat
ab raal Tapaktī hai to rūmāl nadārat
tahqīq kiyā un kā jo shajara to ye paayā
kuchh yūñhī sī nanihāl hai dadhiyāl nadārat
hai us but-e-kāfir kā shabāb apnā buḌhāpā
maazī hai udhar gol idhar haal nadārat
ta.adād meñ haiñ aurteñ mardoñ se zyāda
qavvāliyāñ maujūd haiñ qavvāl nadārat
biivī kī bhī juutī ke tale ho ga.e ġhā.eb
shauhar ke agar sar se hue baal nadārat
shaiKH aae jo mahshar mein to aamal nadarat
jis mal ke tajir the wahi mal nadarat
kuchh hota rahega yunhi har sal nadarat
tibbat kabhi ghaeb kabhi nepal nadarat
rumal jo milte the to thi ral nadarat
ab ral Tapakti hai to rumal nadarat
tahqiq kiya un ka jo shajara to ye paya
kuchh yunhi si nanihaal hai dadhiyal nadarat
hai us but-e-kafir ka shabab apna buDhapa
mazi hai udhar gol idhar haal nadarat
tadad mein hain aurten mardon se zyaada
qawwaliyan maujud hain qawwal nadarat
biwi ki bhi juti ke tale ho gae ghaeb
shauhar ke agar sar se hue baal nadarat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.