shaitan aadha rah gaya
fat.h karne ke liye maidān aadhā rah gayā
aadhā puurā ho gayā armān aadhā rah gayā
qarz jatanoñ ne liye the ho ga.e sab lāpata
sham.a kī mānind ghul kar ḳhaan aadhā rah gayā
congress aur jantādal meñ baT ga.e suube tamām
phir to yuuñ kahiye ki hindostān aadhā rah gayā
māntā huuñ maiñ ki terī mezbānī kam na thī
lauT kar phir kyuuñ tirā mehmān aadhā rah gayā
sarhadoñ par jañg kā anjām thā sar par savār
Dar ke maare fauj kā kaptān aadhā rah gayā
terā aadhā kaam ḳhud insān hī karne lage
kaam terā ab to ai shaitān aadhā rah gayā
aap kī aise meñ āḳhir maiñ tavāzo kyā karūñ
aap ke aa.e qadam jab naan aadhā rah gayā
bārhā maiñ kah chukā us chor se hoshyār rah
tere kamre kā har ik sāmān aadhā rah gayā
naaj jitnā thā vo sab mukhiyā kī bhaiñseñ char ga.iiñ
aur kallū-rām kā khaliyān aadhā rah gayā
vālida raazī haiñ un kī aur vālid haiñ ḳhafā
ab to shādī kā mirī imkān aadhā rah gayā
aah ab do chārpā.ī kī bhī gunjā.ish nahīñ
khiñch ga.ī dīvār aur dālān aadhā rah gayā
laḌ-jhagaḌ kar 'pāpular' vo apne ghar ko chal diyā
shā.erī ruḳhsat huī dīvān aadhā rah gayā
fath karne ke liye maidan aadha rah gaya
aadha pura ho gaya arman aadha rah gaya
qarz jatanon ne liye the ho gae sab lapata
shama ki manind ghul kar KHan aadha rah gaya
congress aur jantadal mein baT gae sube tamam
phir to yun kahiye ki hindostan aadha rah gaya
manta hun main ki teri mezbani kam na thi
lauT kar phir kyun tera mehman aadha rah gaya
sarhadon par jang ka anjam tha sar par sawar
Dar ke mare fauj ka kaptan aadha rah gaya
tera aadha kaam KHud insan hi karne lage
kaam tera ab to ai shaitan aadha rah gaya
aap ki aise mein aaKHir main tawazo kya karun
aap ke aae qadam jab nan aadha rah gaya
barha main kah chuka us chor se hoshyar rah
tere kamre ka har ek saman aadha rah gaya
naj jitna tha wo sab mukhiya ki bhainsen char gain
aur kallu-ram ka khaliyan aadha rah gaya
walida raazi hain un ki aur walid hain KHafa
ab to shadi ka meri imkan aadha rah gaya
aah ab do chaarpai ki bhi gunjaish nahin
khinch gai diwar aur dalan aadha rah gaya
laD-jhagaD kar 'papular' wo apne ghar ko chal diya
shaeri ruKHsat hui diwan aadha rah gaya
- Book : Ha.ns Kar Guzar De (Pg. 98)
- Author : Sayed Ejazuddin Shah Papular Merthi
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. Jamia Nagar (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.