Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharabi aur faqir

Nazir Khayami

sharabi aur faqir

Nazir Khayami

MORE BYNazir Khayami

    muDbheḌ merī ho ga.ī kal ik faqīr se

    vo bhiik māñgtā thā har ik rāhgīr se

    maiñ ne kahā ki bhaa.ī hai kaisā tumhārā haal

    kahne lagā ki hai karam rabb-e-zul-jalāl

    maiñ ne kahā ki race bhī khelī kabhī kahīñ

    kahne lagā ki race to khelī kabhī nahīñ

    maiñ ne kahā ki tāshoñ se kuchh mashġhala rahā

    kahne lagā ki maiñ nahīñ khelā kabhī joh

    maiñ ne kahā ki gāñjā bharī cigaretteñ bhī piiñ

    bolā baḌe vaqār se hargiz kabhī nahīñ

    maiñ kahā sharāb kabhī hai nahīñ

    kahne lagā sharāb barī shai hai bil-yaqīñ

    maiñ ne kahā ki phir mire ghar tak chale chalo

    maiñ das rupa.e note abhī dūñgā aao to

    kahne lagā ye ghar pe zarūrī hai kyā karam

    denā agar hai tujh ko to de de yahīñ raqam

    maiñ ne kahā na uzr karo merī baat se

    tum ko milā.ūñgā maiñ sharīk-e-hayāt se

    tum se milā ke apnī sharīk-e-hayāt ko

    jhagḌe se tamām ḳhatm karūñgā uTho chalo

    hai saaf saaf baat daġhā hai na is meñ khoT

    itnī baat kah ke maiñ de dūñgā das note

    biivī baat mujhe denā hai ik javāb

    vo bhiik māñgtā hai jo piitā nahīñ sharāb

    muDbheD meri ho gai kal ek faqir se

    wo bhik mangta tha har ek rahgir se

    main ne kaha ki bhai hai kaisa tumhaara haal

    kahne laga ki hai karam rabb-e-zul-jalal

    main ne kaha ki race bhi kheli kabhi kahin

    kahne laga ki race to kheli kabhi nahin

    main ne kaha ki tashon se kuchh mashghala raha

    kahne laga ki main nahin khela kabhi joh

    main ne kaha ki ganja bhari cigaretten bhi pin

    bola baDe waqar se hargiz kabhi nahin

    main kaha sharab kabhi pi hai ya nahin

    kahne laga sharab bari shai hai bil-yaqin

    main ne kaha ki phir mere ghar tak chale chalo

    main das rupae ka note abhi dunga aao to

    kahne laga ye ghar pe zaruri hai kya karam

    dena agar hai tujh ko to de de yahin raqam

    main ne kaha na uzr karo meri baat se

    tum ko milaunga main sharik-e-hayat se

    tum se mila ke apni sharik-e-hayat ko

    jhagDe se tamam KHatm karunga uTho chalo

    hai saf saf baat dagha hai na is mein khoT

    itni si baat kah ke main de dunga das ka note

    biwi ki baat ka mujhe dena hai ek jawab

    wo bhik mangta hai jo pita nahin sharab

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now