shauhar ki fitrat
ham ko kuchh halchal machānī chāhiye
dil kī duniyā phir basānī chāhiye
chāhe sar ke baal hoñ puure safed
phir bhī qismat āzmānī chāhiye
hai zarūrat zauja-e-sānī kī ab
pyaar kī taaza kahānī chāhiye
ho gayā hai ghar meñ kuchh zyāda sukūñ
ghar meñ ab bachchoñ kī naanī chāhiye
dekhte haiñ roz khiḌkī se jise
vo paḌosan ghar meñ aanī chāhiye
kar liyā bardāsht kaafī din use
biivī ab maike ko jaanī chāhiye
chhoḌ do 'hammād-hasan' ab harkateñ
kuchh sharāfat bhī dikhānī chāhiye
hum ko kuchh halchal machani chahiye
dil ki duniya phir basani chahiye
chahe sar ke baal hon pure safed
phir bhi qismat aazmani chahiye
hai zarurat zauja-e-sani ki ab
pyar ki taza kahani chahiye
ho gaya hai ghar mein kuchh zyaada sukun
ghar mein ab bachchon ki nani chahiye
dekhte hain roz khiDki se jise
wo paDosan ghar mein aani chahiye
kar liya bardasht kafi din use
biwi ab maike ko jaani chahiye
chhoD do 'hammad-hasan' ab harkaten
kuchh sharafat bhi dikhani chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.