shauhar-nama
shauhar-jī uTho ghar se niklo shādī kā sog manānā kyā
jo honā thā vo ho ke rahā ab dil ko aur jalānā kyā
biivī kī zabān-darāzī se jhunjhlāte ho ghabrāte ho
jab shādī kar hī baiThe ho to phir ab shor machānā kyā
sab dostoñ ke uksāne par uTTho to sahī niklo to sahī
jab urdu film hī dekhnī hai to shabnam kyā aur shabāna kyā
chalo coat kī saarī jeboñ meñ DhūñDo to sahī dekho to sahī
ik das kā note hī mil jaa.e to haath apnā phailānā kyā
shab biitī chāñd bhī Duub chalā ab paañv dabānā band karo
uTTho jaldī aaTā gūñdho tumheñ nāshta nahīñ banānā kyā
shādī ho ga.ī āzādī chhinī zanjīr paḌī ab pairoñ meñ
miyāñ āñkheñ laḌānā band karo ab hañsnā kyā aur hañsānā kyā
ab tum shauhar ho had meñ raho aur aañkh maTakkā jaane do
biivī ke qahr ko na dāvat do tumheñ lauT ke ghar nahīñ jaanā kyā
lo bhor bha.ī ab uTh baiTho chaa.e kā paanī rakho jā kar
biivī ko agar chaa.e na milī to raat ko khāoge khānā kyā
shauhar-ji uTho ghar se niklo shadi ka sog manana kya
jo hona tha wo ho ke raha ab dil ko aur jalana kya
biwi ki zaban-daraazi se jhunjhlate ho ghabraate ho
jab shadi kar hi baiThe ho to phir ab shor machana kya
sab doston ke uksane par uTTho to sahi niklo to sahi
jab urdu film hi dekhni hai to shabnam kya aur shabana kya
chalo coat ki sari jebon mein DhunDo to sahi dekho to sahi
ek das ka note hi mil jae to hath apna phailana kya
shab biti chand bhi Dub chala ab panw dabana band karo
uTTho jaldi aaTa gundho tumhein nashta nahin banana kya
shadi ho gai aazadi chhini zanjir paDi ab pairon mein
miyan aankhen laDana band karo ab hansna kya aur hansana kya
ab tum shauhar ho had mein raho aur aankh maTakka jaane do
biwi ke qahr ko na dawat do tumhein lauT ke ghar nahin jaana kya
lo bhor bhai ab uTh baiTho chae ka pani rakho ja kar
biwi ko agar chae na mili to raat ko khaoge khana kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.