tujh meñ ai hindostāñ kuchh āj-kal had se sivā
chār-sū phailī huī hai shā.erī kī ik vabā
is maraz meñ ab to assī fīsadī haiñ mubtalā
mustanad shā.er hai jis ne ik taḳhallus rakh liyā
shā.erī go ahd-e-māzī meñ thī pāyān-e-ulūm
ab taḳhallus meñ simaT kar aa ga.ī jān-e-ulūm
ai ajā.ib-ḳhāna-e-hastī kī jins-e-be-bahā
ahd-e-maujūda ke shā.er vaah kyā kahnā tirā
terī kasrat har jagah mardum-shumārī se sivā
tū farishta hai bashar kī shakl meñ is ahd kā
tujh ko khāne se na kuchh matlab na kuchh piine se kaam
sher kah kah kar sunāne aur faqat jiine se kaam
hai bahut taklīf-dah shā.er kī vo jins-e-ajīb
jo sunāne ke liye bechain rahtā ho ġharīb
us ko achchhā kar nahīñ saktā koī kāmil tabīb
shā.erī kī jis ko bad-hazmī ho haiza ke qarīb
chāhtā hai sab sunā duuñ jo kahūñ ik saal meñ
mubtalā hai shā.erī ke saḳht-tar is.hāl meñ
nazm kar letā hai sab kuchh itnī āsānī ke saath
jis tarah bahte haiñ tinke tez-rau paanī ke saath
jab ki tū letā nahīñ apne dimāġh o dil se kaam
sahl se hai tujh ko matlab aur kyā mushkil se kaam
sab ko qillat vaqt kī tujh ko farāvānī milī
sañg ko insān kī shakl-e-hayūlānī milī
kasb-e-zar sab ke liye tujh ko ġhazal-ḳhvānī milī
muft kī be-gār karne ko suḳhan-dānī milī
har zarūrat terī ik jhūTā bahāna ban ga.ī
ma.azarat tak aah uzr-e-shā.irāna ban ga.ī
kuchh sa.ūbāt-e-safar hote nahīñ maanā tujhe
sohbat-e-sher-o-suḳhan meñ farz hai jaanā tujhe
kaam shab bhar jāgnā misre kā dohrānā tujhe
har ġhazal kī daad denā aur chillānā tujhe
terī shirkat lāzmī har shahr meñ har gaañv meñ
sar meñ saudā-e-suḳhan aur sanīchar paañv meñ
dekh terī qadr yuuñ karte haiñ tere qadr-dāñ
koī melā ho kahīñ par yā numā.ish yā nihāñ
jis meñ circus bhī ho dañggal meñ laḌeñ kuchh pahlvāñ
yaad kar lete haiñ bhūle se tujhe bhī mehrbāñ
dete haiñ lālach meDal kā terī izzat ke liye
third kā tujh ko ticket miltā hai shirkat ke liye
ye bhī jab kaafī zamānat ho ki shā.er aa.egā
ye kirāya to kahīñ le kar na khā jā.egā
ek bhartī karne vaalā ḳhud ticket dilvā.egā
apnī ham-rāhī meñ tujh ko rail par biThlā.egā
paḌh na le jab tak ġhazal hotī rahegī dekh-bhāl
ba.ad is ke ek voter aur shā.er kā ma.aal
ye bhī hai shā.er ke zimme ik zarūrī aur kaam
jab ġhazal paḌhne sharīk-e-bazm ho ye nek-nām
apne jūtoñ kā kare apnī baġhal meñ intizām
varna nañge pair ghar aanā paḌegā vassalām
bazm meñ kuchh qadar-dāñ is qism ke aa jā.eñge
chhāñT kar aksar na.e juute churā le jā.eñge
paise vāloñ kī samajh meñ aa ga.ī hai ab ye baat
sarf-e-bejā nāch-gāne kā hai bilkul vāhiyāt
jab koī jalsa ḳhushī kā ho kahīñ par ho barāt
mun.aqid bazm-e-suḳhan hotī hai tā kaT jaa.e raat
pahle arbāb-e-nashāt aate the gaane ke liye
ab to shā.er jaate haiñ ġhazleñ sunāne ke liye
yād-e-ayyāme ki shā.er ko zabāñ par naaz thā
quvvat-e-taḳh.īl hī sarmāya-e-ezāz thā
lafz hī meñ soz thā aur lafz hī meñ saaz thā
naġhma-e-shā.er kā rūhul-quds ham-āvāz thā
ab agar qaabū ho in par to mile shā.er ko daad
sar-rakhab gandhār maddham panjam aur dhevat-nikhār
rafta rafta baḌh gayā gar shauq-o-zauq-e-naġhma-sāz
shā.er ab ā.eñge mahfil meñ pahan kar peshvāz
ḳhatm is fiqara pe hogī har ġhazal ustād kī
suniye maiñ hoñ jānkī-bā.ī allahabad kī
tū namūna sar-ba-sar aḳhlāq o ḳhuddārī kā thā
ik safā ā.īna to qudrat-e-bārī kā thā
tū muālij nafs-e-ammāra kī bīmārī kā thā
tū zarīya mulk aur millat kī bedārī kā thā
kitnī ibrat-ḳhez shai ab ālam-e-hastī meñ hai
jis ne qaumoñ ko ubhārā thā vahī pastī meñ hai
pesha-var jitne haiñ in kī mulk meñ izzat to hai
kam sahī lekin har ik san.at kī kuchh qīmat to hai
har zarūrat par kisī sannā.a kī hājat to hai
juz tire har ahl-e-fan kī kuchh na kuchh ujrat to hai
qismat-e-barbād terī ban ke uḌ jaatī hai bhaap
hai sila terā yahī kyā ḳhuub farmāte haiñ aap!
tujh mein ai hindostan kuchh aaj-kal had se siwa
chaar-su phaili hui hai shaeri ki ek waba
is maraz mein ab to assi fisadi hain mubtala
mustanad shaer hai jis ne ek taKHallus rakh liya
shaeri go ahd-e-mazi mein thi payan-e-ulum
ab taKHallus mein simaT kar aa gai jaan-e-ulum
ai ajaib-KHana-e-hasti ki jins-e-be-baha
ahd-e-maujuda ke shaer wah kya kahna tera
teri kasrat har jagah mardum-shumari se siwa
tu farishta hai bashar ki shakl mein is ahd ka
tujh ko khane se na kuchh matlab na kuchh pine se kaam
sher kah kah kar sunane aur faqat jine se kaam
hai bahut taklif-dah shaer ki wo jins-e-ajib
jo sunane ke liye bechain rahta ho gharib
us ko achchha kar nahin sakta koi kaamil tabib
shaeri ki jis ko bad-hazmi ho haiza ke qarib
chahta hai sab suna dun jo kahun ek sal mein
mubtala hai shaeri ke saKHt-tar ishaal mein
nazm kar leta hai sab kuchh itni aasani ke sath
jis tarah bahte hain tinke tez-rau pani ke sath
jab ki tu leta nahin apne dimagh o dil se kaam
sahl se hai tujh ko matlab aur kya mushkil se kaam
sab ko qillat waqt ki tujh ko farawani mili
sang ko insan ki shakl-e-hayulani mili
kasb-e-zar sab ke liye tujh ko ghazal-KHwani mili
muft ki be-gar karne ko suKHan-dani mili
har zarurat teri ek jhuTa bahana ban gai
mazarat tak aah uzr-e-shairana ban gai
kuchh saubaat-e-safar hote nahin mana tujhe
sohbat-e-sher-o-suKHan mein farz hai jaana tujhe
kaam shab bhar jagna misre ka dohrana tujhe
har ghazal ki dad dena aur chillana tujhe
teri shirkat lazmi har shahr mein har ganw mein
sar mein sauda-e-suKHan aur sanichar panw mein
dekh teri qadr yun karte hain tere qadr-dan
koi mela ho kahin par ya numaish ya nihan
jis mein circus bhi ho danggal mein laDen kuchh pahlwan
yaad kar lete hain bhule se tujhe bhi mehrban
dete hain lalach meDal ka teri izzat ke liye
third ka tujh ko ticket milta hai shirkat ke liye
ye bhi jab kafi zamanat ho ki shaer aaega
ye kiraya to kahin le kar na kha jaega
ek bharti karne wala KHud ticket dilwaega
apni ham-rahi mein tujh ko rail par biThlaega
paDh na le jab tak ghazal hoti rahegi dekh-bhaal
baad is ke ek woter aur shaer ka maal
ye bhi hai shaer ke zimme ek zaruri aur kaam
jab ghazal paDhne sharik-e-bazm ho ye nek-nam
apne juton ka kare apni baghal mein intizam
warna nange pair ghar aana paDega wassalam
bazm mein kuchh qadar-dan is qism ke aa jaenge
chhanT kar aksar nae jute chura le jaenge
paise walon ki samajh mein aa gai hai ab ye baat
sarf-e-beja nach-gane ka hai bilkul wahiyat
jab koi jalsa KHushi ka ho kahin par ho baraat
munaqid bazm-e-suKHan hoti hai ta kaT jae raat
pahle arbab-e-nashat aate the gane ke liye
ab to shaer jate hain ghazlen sunane ke liye
yaad-e-ayyame ki shaer ko zaban par naz tha
quwwat-e-taKHil hi sarmaya-e-ezaz tha
lafz hi mein soz tha aur lafz hi mein saz tha
naghma-e-shaer ka ruhul-quds ham-awaz tha
ab agar qabu ho in par to mile shaer ko dad
sar-rakhab gandhaar maddham panjam aur dhewat-nikhaar
rafta rafta baDh gaya gar shauq-o-zauq-e-naghma-saz
shaer ab aaenge mahfil mein pahan kar peshwaz
KHatm is fiqara pe hogi har ghazal ustad ki
suniye main hon jaanki-bai allahabad ki
tu namuna sar-ba-sar aKHlaq o KHuddari ka tha
ek safa aaina to qudrat-e-bari ka tha
tu mualij nafs-e-ammara ki bimari ka tha
tu zariya mulk aur millat ki bedari ka tha
kitni ibrat-KHez shai ab aalam-e-hasti mein hai
jis ne qaumon ko ubhaara tha wahi pasti mein hai
pesha-war jitne hain in ki mulk mein izzat to hai
kam sahi lekin har ek sanat ki kuchh qimat to hai
har zarurat par kisi sannaa ki hajat to hai
juz tere har ahl-e-fan ki kuchh na kuchh ujrat to hai
qismat-e-barbaad teri ban ke uD jati hai bhap
hai sila tera yahi kya KHub farmate hain aap!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.