shirini-e-ras-dar
shīrīñ hai rasīlī hai mazedār bahut hai
har fard ise khāne ko tayyār bahut hai
ḳhush-rang hai ḳhush-rū hai ye ḳhush-ḳhulq hai lā-raib
jo khaa.e ise lutf se sarshār bahut hai
hai sāḳht meñ pechīda magar asl meñ sīdhī
fitrat kī bhalī tab.a meñ hamvār bahut hai
saada sī hai sūrat to damaktī huī rangat
is ke liye bas itnā hī singhār bahut hai
khāte hī halāvat kā dahan meñ ho baserā
is ke liye thoḌī sī hī miqdār bahut hai
gūnā-gūñ haiñ ausāf jinheñ mānte haiñ sab
bas vo nahīñ shāmil jinheñ pindār bahut hai
jo fard ise dekhte hī chīñ-ba-jabīñ ho
zāhir hai ki jiine se vo bezār bahut hai
kuchh to ise halvā.ī kī dukkān pe khā.eñ
kuchh ko ye amal karte hue aar bahut hai
kyā ġham hai jo shopper pe hai sarkār kī bandish
halvā.ī kī tahvīl meñ aḳhbār bahut hai
ye yaad rakheñ khāne meñ rakhnā hai tavāzun
jo bhūlā vo amrāz se do-chār bahut hai
amrāz ko hargiz na vafādār banā.eñ
varna ye rah-e-zindagī pur-ḳhār bahut hai
go ab to ta.āruf kī zarūrat nahīñ chandāñ
hai naam jalebī agar isrār bahut hai
shirin hai rasili hai mazedar bahut hai
har fard ise khane ko tayyar bahut hai
KHush-rang hai KHush-ru hai ye KHush-KHulq hai la-raib
jo khae ise lutf se sarshaar bahut hai
hai saKHt mein pechida magar asl mein sidhi
fitrat ki bhali taba mein hamwar bahut hai
sada si hai surat to damakti hui rangat
is ke liye bas itna hi singhaar bahut hai
khate hi halawat ka dahan mein ho basera
is ke liye thoDi si hi miqdar bahut hai
guna-gun hain ausaf jinhen mante hain sab
bas wo nahin shamil jinhen pindar bahut hai
jo fard ise dekhte hi chin-ba-jabin ho
zahir hai ki jine se wo bezar bahut hai
kuchh to ise halwai ki dukkan pe khaen
kuchh ko ye amal karte hue aar bahut hai
kya gham hai jo shopper pe hai sarkar ki bandish
halwai ki tahwil mein aKHbar bahut hai
ye yaad rakhen khane mein rakhna hai tawazun
jo bhula wo amraaz se do-chaar bahut hai
amraaz ko hargiz na wafadar banaen
warna ye rah-e-zindagi pur-KHar bahut hai
go ab to taaruf ki zarurat nahin chandan
hai nam jalebi agar israr bahut hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.