shikwa-e-clerk
kyuuñ maiñ ghāTe meñ rahūñ sūd-farāmosh rahūñ
mauqa.a mil jaa.e to daftar meñ hī mad.hosh rahūñ
DaañT afsar kī sunūñ aur hama-tan-gosh rahūñ
''ham-navā'' maiñ bhī koī gul huuñ ki ḳhāmosh rahūñ
''maska-bāzī'' ke sabab tāb-e-suḳhan hai mujh ko
dar-haqīqat bahut arsa se ghuTan hai mujh ko
hai bajā kaam kī chorī meñ to mash.hūr haiñ ham
peT rishvat se jo bharte haiñ to majbūr haiñ ham
aañkh ke andhe haiñ kānoñ se bhī ma.azūr haiñ ham
''boss'' kī nit-na.ī dhamkī se bhī ranjūr haiñ ham
mire afsar mire aaqā tū ye da.avā sun le
apnī aadat ko na chhoḌeñge tū itnā sun le
thī to maujūd azal hī se ye rishvat kī phaban
ye buzurgoñ kī rivāyat ye buzurgoñ kā chalan
kaise kah duuñ ki mujhe hotī hai is se uljhan
ye maza vo hai ki aadī haiñ mire kām-o-dahan
ham pe ġhaflat huī taarī to ''corruption'' bhī savār
laakh rotī rahī public na sunī us kī ''pukār''
khāyā ohde kī badaulat jo hazāroñ kā udhār
ek hī kes meñ karne lage ham beḌā paar
haa.e afsos vahī ''lens'' ne ham ko pakḌā
zindagī bhar ke liye ho gayā qaa.em jhagḌā
ham to ullū haiñ tirī dhoñs meñ rahte hī rahe
jis taraf tū ne kahā josh meñ bahte hī rahe
phir bhī kyuuñ aañkh dikhātā hai tū DañDā le kar
kyā nahīñ ḳhush tirā jī rūpiyoñ kā baTvā le kar
apnī ''taḌ'' apnī anā ko bhī miTāyā ham ne
ḳhol chehre pe ġhulāmī kā chaḌhāyā ham ne
hukm afsar kā bahar-hāl bajāyā ham ne
us ke chamchoñ ko bahut maal chaTāyā ham ne
phir bhī afsar ko gila hai ki vafādār nahīñ
ham vafādār nahīñ vo bhī to dil-dār nahīñ
kyun main ghaTe mein rahun sud-faramosh rahun
mauqa mil jae to daftar mein hi madhosh rahun
DanT afsar ki sunun aur hama-tan-gosh rahun
ham-nawa main bhi koi gul hun ki KHamosh rahun
maska-bazi ke sabab tab-e-suKHan hai mujh ko
dar-haqiqat bahut arsa se ghuTan hai mujh ko
hai baja kaam ki chori mein to mashhur hain hum
peT rishwat se jo bharte hain to majbur hain hum
aankh ke andhe hain kanon se bhi mazur hain hum
boss ki nit-nai dhamki se bhi ranjur hain hum
mere afsar mere aaqa tu ye dawa sun le
apni aadat ko na chhoDenge tu itna sun le
thi to maujud azal hi se ye rishwat ki phaban
ye buzurgon ki riwayat ye buzurgon ka chalan
kaise kah dun ki mujhe hoti hai is se uljhan
ye maza wo hai ki aadi hain mere kaam-o-dahan
hum pe ghaflat hui tari to corruption bhi sawar
lakh roti rahi public na suni us ki pukar
khaya ohde ki badaulat jo hazaron ka udhaar
ek hi kes mein karne lage hum beDa par
hae afsos wahi lens ne hum ko pakDa
zindagi bhar ke liye ho gaya qaem jhagDa
hum to ullu hain teri dhons mein rahte hi rahe
jis taraf tu ne kaha josh mein bahte hi rahe
phir bhi kyun aankh dikhata hai tu DanDa le kar
kya nahin KHush tera ji rupiyon ka baTwa le kar
apni taD apni ana ko bhi miTaya hum ne
KHol chehre pe ghulami ka chaDhaya hum ne
hukm afsar ka bahar-haal bajaya hum ne
us ke chamchon ko bahut mal chaTaya hum ne
phir bhi afsar ko gila hai ki wafadar nahin
hum wafadar nahin wo bhi to dil-dar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.