shor se bachchon ke ghabraate hain ghar par aur hum
shor se bachchoñ ke ghabrāte haiñ ghar par aur ham
varna ḳhud hī sochiye sāhab ki daftar aur ham
tū to ghar meñ so rahā hai yaar tujh ko kyā ḳhabar
gate par zaḳhmī paḌe haiñ gate-kēper aur ham
hai jagah dil meñ to ik ghar meñ guzārā karte haiñ
aaTh bachche ek begam chaar shauhar aur ham
ghar kī tahzīb aur hai daftar kā culture aur hai
ghar ke andar aur haiñ ham ghar ke bāhar aur ham
shor se bachchon ke ghabraate hain ghar par aur hum
warna KHud hi sochiye sahab ki daftar aur hum
tu to ghar mein so raha hai yar tujh ko kya KHabar
gate par zaKHmi paDe hain gate-keeper aur hum
hai jagah dil mein to ek ghar mein guzara karte hain
aaTh bachche ek begam chaar shauhar aur hum
ghar ki tahzib aur hai daftar ka culture aur hai
ghar ke andar aur hain hum ghar ke bahar aur hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.