siyah zulf ko jo ban-sanwar ke dekhte hain
siyāh zulf ko jo ban-sañvar ke dekhte haiñ
safed baal kahāñ apne sar ke dekhte haiñ
sunā hai fees hai kuchh us se baat karne kī
ye fees kyā hai abhī baat kar ke dekhte haiñ
sunā hai log siyah-fām mah-jabīnoñ ko
lagā ke dhuup meñ chashme nazar ke dekhte haiñ
sunā hai jeb meñ muflis bhī maal rakhte haiñ
so muflisoñ kī bhī jebeñ katar ke dekhte haiñ
sunā hai shauq hai un ko bhī ghuḌ-savārī kā
jo duur se khaḌe ġhamze shutar ke dekhte haiñ
sunā hai apnī basīrat pe naaz hai un ko
jo raat ko bhī ujāle sahar ke dekhte haiñ
sunā hai ishq meñ mushkil hai matric karnā
result kuchh bhī sahī form bhar ke dekhte haiñ
adīb-o-shā.er-o-fankār bote haiñ jo shajar
ye log phal kahāñ apne shajar ke dekhte haiñ
sunā hai marne ke ba.ad un kī qadr hotī hai
so chand din ke liye ham bhī mar ke dekhte haiñ
siyah zulf ko jo ban-sanwar ke dekhte hain
safed baal kahan apne sar ke dekhte hain
suna hai fees hai kuchh us se baat karne ki
ye fees kya hai abhi baat kar ke dekhte hain
suna hai log siyah-fam mah-jabinon ko
laga ke dhup mein chashme nazar ke dekhte hain
suna hai jeb mein muflis bhi mal rakhte hain
so muflison ki bhi jeben katar ke dekhte hain
suna hai shauq hai un ko bhi ghuD-sawari ka
jo dur se khaDe ghamze shutar ke dekhte hain
suna hai apni basirat pe naz hai un ko
jo raat ko bhi ujale sahar ke dekhte hain
suna hai ishq mein mushkil hai matric karna
result kuchh bhi sahi form bhar ke dekhte hain
adib-o-shaer-o-fankar bote hain jo shajar
ye log phal kahan apne shajar ke dekhte hain
suna hai marne ke baad un ki qadr hoti hai
so chand din ke liye hum bhi mar ke dekhte hain
- Book : Kulliyat Dilawar Figar (Pg. 572)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.