kuchh rail-ghar kā haal karūñ muḳhtasar bayāñ
vo nau-baje kā vaqt vo hañgāme kā samāñ
quliyoñ kā laad laad ke laanā vo peTiyāñ
bajnā vo ghanTiyoñ kā vo engine kī sīTiyāñ
gaḌ-baḌ musāfiroñ kī bhī ik yādgār thī
aurat pe mard mard pe aurat savār thī
al-qissa rail jab sū-e-jhansi ravāñ huī
aur shakl lucknow kī nazar se nihāñ huī
jo third meñ the un ke liye bhī amaañ huī
panjoñ pe dhakke khā ke jagah kuchh ayaañ huī
thā tīsrā pahar na ba-ḳhūbī huī thī shaam
chhūTā jo saath rail kā ham sab se vassalām
ya.anī savād-e-bamba.ī us dam nazar paḌā
Thahrī train ik ek musāfir utar paḌā
kuchh bamba.ī kā haal karūñ muḳhtasar bayāñ
chauḌī saḌak do-rūya ka.ī manzile makāñ
har-sū miloñ kā shahr meñ phailā huā dhuāñ
har ek maale ke liye das biis sīḌhiyāñ
kamra har ek kaaTh kā piñjra silā huā
har ik makīñ phañdīt ho jaise palā huā
baiThe uThe vahīñ pe vahīñ khānā bhī pakā.e
muñh haath dho.e chāhe vahīñ baiTh kar nahā.e
sone ke vāste na masahrī agar bichhā.e
phaileñ na pair guñDlī jo maare to haañ samā.e
aisī jagah pe gar kahīñ rahne ko jā mile
insāñ ko zindagī meñ lahad kā mazā mile
bā.īs february kī sahar jab miyāñ huī
uTThe savere jaise hī zulmat nihāñ huī
asbāb bāñdh-būñdh ke hushiyār ho ga.e
gaaḌī bulā.ī chalne ko tayyār ho ga.e
pahuñchā har ik jahāz par jis tarah ho sakā
lekin kahīñ pe miltī na thī baiThne kī jā
asbāb chaar samt thā phailā paḌā huā
suntā na thā koī jo koī thā pukārtā
burqā meñ aurteñ thiiñ magar ġhair haal thā
relā vo thā qadam kā Thaharnā muhāl thā
kuchh khanD meñ bhare ga.e asbāb kī tarah
kuchh be qarār ho ga.e sīmāb kī tarah
ik jā pe kuchh samā jo ga.e aap kī tarah
kuchh ghūmte hī rah ga.e girdāb kī tarah
maujoñ kā uThnā aur vo talātum ki al-hazar
be-ḳhud hue ye sab ki na apnī rahī ḳhabar
qai se musāfiroñ kā bahut ġhair haal thā
chakkar vo thā ki sar kā uThānā muhāl thā
thiiñ jin ke saath aurteñ un kā na pūchho haal
le jaanā aur laanā thā ik jaan kā vabāl
sīḌhī se un ko le ke utarnā thā ik muhāl
be-pardagī kā dhyān na parde kā thā ḳhayāl
ye parda-dārī jaan ke uupar azaab thī
in auratoñ se mardoñ kī miTī ḳharāb thī
kahtī thī koī lo mirā burqā aTak gayā
hai hai nayā thā tiin jagah se masak gayā
sāhab sambhālo sar se dupaTTa khisak gayā
lo pā.incha ulajh gayā muqannā sarak gayā
lo biivī pān-dān kā Dhaknā bhī gir gayā
aafat paḌe jahāz pe kathā bhī gir gayā
tauba ye mere bachche kā baTva bhī gir gayā
pahuñchūñgī ab kī garche asal ḳhair se maiñ ghar
biivī amīThe kaan karūñgī na phir safar
vo kaun log haiñ ki jo aate haiñ baar baar
sach hai buā ki ghar hai ġhanīmat hazār baar
kuchh rail-ghar ka haal karun muKHtasar bayan
wo nau-baje ka waqt wo hangame ka saman
quliyon ka lad lad ke lana wo peTiyan
bajna wo ghanTiyon ka wo engine ki siTiyan
gaD-baD musafiron ki bhi ek yaadgar thi
aurat pe mard mard pe aurat sawar thi
al-qissa rail jab su-e-jhansi rawan hui
aur shakl lucknow ki nazar se nihan hui
jo third mein the un ke liye bhi aman hui
panjon pe dhakke kha ke jagah kuchh ayan hui
tha tisra pahar na ba-KHubi hui thi sham
chhuTa jo sath rail ka hum sab se wassalam
yani sawad-e-bambai us dam nazar paDa
Thahri train ek ek musafir utar paDa
kuchh bambai ka haal karun muKHtasar bayan
chauDi saDak do-ruya kai manzile makan
har-su milon ka shahr mein phaila hua dhuan
har ek male ke liye das bis siDhiyan
kamra har ek kaTh ka pinjra sila hua
har ek makin phandit ho jaise pala hua
baiThe uThe wahin pe wahin khana bhi pakae
munh hath dhoe chahe wahin baiTh kar nahae
sone ke waste na masahri agar bichhae
phailen na pair gunDli jo mare to han samae
aisi jagah pe gar kahin rahne ko ja mile
insan ko zindagi mein lahad ka maza mile
bais february ki sahar jab miyan hui
uTThe sawere jaise hi zulmat nihan hui
asbab bandh-bundh ke hushiyar ho gae
gaDi bulai chalne ko tayyar ho gae
pahuncha har ek jahaz par jis tarah ho saka
lekin kahin pe milti na thi baiThne ki ja
asbab chaar samt tha phaila paDa hua
sunta na tha koi jo koi tha pukarta
burqa mein aurten thin magar ghair haal tha
rela wo tha qadam ka Thaharna muhaal tha
kuchh khanD mein bhare gae asbab ki tarah
kuchh be qarar ho gae simab ki tarah
ek ja pe kuchh sama jo gae aap ki tarah
kuchh ghumte hi rah gae girdab ki tarah
maujon ka uThna aur wo talatum ki al-hazar
be-KHud hue ye sab ki na apni rahi KHabar
qai se musafiron ka bahut ghair haal tha
chakkar wo tha ki sar ka uThana muhaal tha
thin jin ke sath aurten un ka na puchho haal
le jaana aur lana tha ek jaan ka wabaal
siDhi se un ko le ke utarna tha ek muhaal
be-pardagi ka dhyan na parde ka tha KHayal
ye parda-dari jaan ke upar azab thi
in auraton se mardon ki miTi KHarab thi
kahti thi koi lo mera burqa aTak gaya
hai hai naya tha tin jagah se masak gaya
sahab sambhaalo sar se dupaTTa khisak gaya
lo paincha ulajh gaya muqanna sarak gaya
lo biwi pan-dan ka Dhakna bhi gir gaya
aafat paDe jahaz pe katha bhi gir gaya
tauba ye mere bachche ka baTwa bhi gir gaya
pahunchungi ab ki garche asal KHair se main ghar
biwi amiThe kan karungi na phir safar
wo kaun log hain ki jo aate hain bar bar
sach hai bua ki ghar hai ghanimat hazar bar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.