tajrabaat-e-talKH ne har-chand samjhaya mujhe
tajrbāt-e-talḳh ne har-chand samjhāyā mujhe
dil magar dil thā usī mahfil meñ le aayā mujhe
husn har shai par tavajjoh kī nazar kā naam hai
bār-hā kāñToñ kī rānā.ī ne chauñkāyā mujhe
duur tak dāmān-e-hastī par diye jalte ga.e
der tak umr-e-guzishta kā ḳhayāl aayā mujhe
har nazar bas apnī apnī raushnī tak jā sakī
har kisī ne apne apne zarf tak paayā mujhe
har ravāñ lamha baḌī tafsīl se miltā gayā
har guzarte rañg ne ḳhud ruk ke Thahrāyā mujhe
ġhuncha-o-gul mahr o mah abr o havā ruḳhsār o lab
zindagī ne har qadam par yaad farmāyā mujhe
tajrbaat-e-talKH ne har-chand samjhaya mujhe
dil magar dil tha usi mahfil mein le aaya mujhe
husn har shai par tawajjoh ki nazar ka nam hai
bar-ha kanTon ki ranai ne chaunkaya mujhe
dur tak daman-e-hasti par diye jalte gae
der tak umr-e-guzishta ka KHayal aaya mujhe
har nazar bas apni apni raushni tak ja saki
har kisi ne apne apne zarf tak paya mujhe
har rawan lamha baDi tafsil se milta gaya
har guzarte rang ne KHud ruk ke Thahraya mujhe
ghuncha-o-gul mahr o mah abr o hawa ruKHsar o lab
zindagi ne har qadam par yaad farmaya mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.