tamam raat
kuchh is tarah se us ne satāyā tamām raat
chup chaap sirf guTkā chabāyā tamām raat
din meñ to kah rahī thī ki tum mere sher ho
aur us ke ba.ad ullū banāyā tamām raat
vo so rahī thī us kā badan jāgtā rahā
so so ke us ne mujh ko jagāyā tamām raat
bachchoñ se muñh ko moḌ ke begam to so ga.iiñ
sū-sū har ik ko maiñ ne karāyā tamām raat
begam se khānā maañg ke pachhtā rahe haiñ ham
murġhā banā banā ke khilāyā tamām raat
kuchh is tarah se us ne sataya tamam raat
chup chap sirf guTka chabaya tamam raat
din mein to kah rahi thi ki tum mere sher ho
aur us ke baad ullu banaya tamam raat
wo so rahi thi us ka badan jagta raha
so so ke us ne mujh ko jagaya tamam raat
bachchon se munh ko moD ke begam to so gain
su-su har ek ko main ne karaya tamam raat
begam se khana mang ke pachhta rahe hain hum
murgha bana bana ke khilaya tamam raat
- Book : Post Martum (Pg. 109)
- Author : Nashtar Amrohvi
- Publication : M.R. Publications (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.