tamasha mere aage
maiñ shahr-e-karachi se kahāñ bahr-e-safar jā.ūñ
jī chāhtā hai ab maiñ isī shahr meñ mar jā.ūñ
is shahr-e-nigārāñ ko jo chhoḌūñ to kidhar jā.ūñ
sahrā mire pīchhe hai to dariyā mire aage
is shahr meñ kuchh husn kā me.aar nahīñ hai
beauty kī zarūrat sar-e-bāzār nahīñ hai
yūsuf kā yahāñ koī ḳharīdār nahīñ hai
show-case meñ baiThī hai zuleḳhā mire aage
is baaġh meñ kuchh qadr nahīñ naġhmagarī kī
ulTī hai yahāñ chaal nasīm-e-saharī kī
had ho ga.ī kaj-fahmī o āshufta-sarī kī
bulbul ko burā kahtā hai kavvā mire aage
rishvat bhī yahāñ ek maraz hai muta.addī
apnā to yahī pesha hai ābā.ī-o-jaddī
lā bechūñgā mansūḳh-shuda noToñ kī raddī
jo maiñ ne kiyā thā vahī aayā mire aage
ik chiiz hai is shahr-e-karachi kā gadhā bhī
hushiyār bhī ahmaq bhī purānā bhī nayā bhī
kam-baḳht ko aatī nahīñ tahzīb zarā bhī
kartā hai sar-e-bazm vo ġhamza mire aage
hotel meñ yahāñ jaao to āvāz yahī aa.e
is bhaa.ī kā do aanā udhar ek kaḌak chaa.e
is seTh kā ik gurda chachā-jān ke do paa.e
murġhī kā jo order hai use chūlhe meñ Daalo
is seTh kā bhejā zarā jaldī se nikālo
ik miiT fry karo ik anDā ubālo
ye seTh jo baiThā hai ise qiima banāo
sāhib kī sirī ThanDī hai kuchh aañch dikhāo
chaa.e meñ shakar maaro ise lambā pakāo
mere ne jo bolā hai vahī mere ko laao
urdu meñ ye farmātā hai bairā mire aage
hotā hai shab-o-roz tamāshā mire aage
main shahr-e-karachi se kahan bahr-e-safar jaun
ji chahta hai ab main isi shahr mein mar jaun
is shahr-e-nigaran ko jo chhoDun to kidhar jaun
sahra mere pichhe hai to dariya mere aage
is shahr mein kuchh husn ka mear nahin hai
beauty ki zarurat sar-e-bazar nahin hai
yusuf ka yahan koi KHaridar nahin hai
show-case mein baiThi hai zuleKHa mere aage
is bagh mein kuchh qadr nahin naghmagari ki
ulTi hai yahan chaal nasim-e-sahari ki
had ho gai kaj-fahmi o aashufta-sari ki
bulbul ko bura kahta hai kawwa mere aage
rishwat bhi yahan ek maraz hai mutaddi
apna to yahi pesha hai aabai-o-jaddi
la bechunga mansuKH-shuda noTon ki raddi
jo main ne kiya tha wahi aaya mere aage
ek chiz hai is shahr-e-karachi ka gadha bhi
hushiyar bhi ahmaq bhi purana bhi naya bhi
kam-baKHt ko aati nahin tahzib zara bhi
karta hai sar-e-bazm wo ghamza mere aage
hotel mein yahan jao to aawaz yahi aae
is bhai ka do aana udhar ek kaDak chae
is seTh ka ek gurda chacha-jaan ke do pae
murghi ka jo order hai use chulhe mein Dalo
is seTh ka bheja zara jaldi se nikalo
ek miT fry karo ek anDa ubaalo
ye seTh jo baiTha hai ise qima banao
sahib ki siri ThanDi hai kuchh aanch dikhao
chae mein shakar maro ise lamba pakao
mere ne jo bola hai wahi mere ko lao
urdu mein ye farmata hai baira mere aage
hota hai shab-o-roz tamasha mere aage
- Book : Kulliyat Dilawar Figar (Pg. 335)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.