tan-asani nahin jati riya-kari nahin jati
tan-āsānī nahīñ jaatī riyā-kārī nahīñ jaatī
miyāñ barsoñ meñ ye sadiyoñ kī bīmārī nahīñ jaatī
janāb-e-shaiḳh yuuñ chalte haiñ ilm-o-fazl ko le kar
kisī Thele se jaise koī almārī nahīñ jaatī
kitābeñ jin ke khul jaane se āñkheñ band ho jaa.eñ
ye dānish jis ke aa jaane se bekārī nahīñ jaatī
miyāñ 'gul-sher' tum bhī to havā ke ruḳh ko pahchāno
jahāñ saaḌī chalī jaatī hai phulkārī nahīñ jaatī
tan-asani nahin jati riya-kari nahin jati
miyan barson mein ye sadiyon ki bimari nahin jati
janab-e-shaiKH yun chalte hain ilm-o-fazl ko le kar
kisi Thele se jaise koi almari nahin jati
kitaben jin ke khul jaane se aankhen band ho jaen
ye danish jis ke aa jaane se bekari nahin jati
miyan 'gul-sher' tum bhi to hawa ke ruKH ko pahchano
jahan saDi chali jati hai phulkari nahin jati
- Book : Anwar Masood Se Khalid Masood Tak (Pg. 85)
- Author : Hassan Abbasi
- Publication : Nastaleeq Matbuaat (2004)
- Edition : 2004
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.