aadmi ka
ġham-e-musalsal kī is tapish meñ ki jism jal jaa.e aadmī kā
hañsī kī halkī phuvār bhī ho to kaam chal jaa.e aadmī kā
mizāh kī gar zarā bhī his hai hañsī ko aur qahqahe ko chhoḌo
chaman meñ gar phuul muskurā de to dil bahal jaa.e aadmī kā
musībatoñ kā muqābla jo hamesha hañste hue karegā
jo vaqt mushkil meñ aane vaalā to vo bhī Tal jaa.e aadmī kā
kisī ko girne se Toknā mat durusht lahje meñ yaad rakkho
tabassum-āmez ho nasīhat qadam sañbhal jaa.e aadmī kā
zamāna achchhā guzar gayā to ye din bure bhī nahīñ raheñge
na ho agar ye fareb-e-paiham to dam nikal jaa.e aadmī kā
gunāhgāroñ aur āsiyoñ ko azāb-e-dozaḳh se vā.izo tum
Darāo be-shak magar na itnā ki dil dahal jaa.e aadmī kā
ibādatoñ ke muāvze meñ milegī jo ābidoñ ko jannat
tum us kā naqsha kuchh aisā khīñcho ki dil phisal jaa.e aadmī kā
naza.a se pahle kare jo tauba vo apnī rahmat se baḳhsh degā
ajab nahīñ hai ki marte marte bhī dil badal jaa.e aadmī kā
ye daur make-up kā aa gayā hai vo husn-e-sāda kahāñ mile ab
ki jis kī bas ik jhalak ko dekhe to dil machal jaa.e aadmī kā
fazā-e-masmūm meñ saañs le kar koī jiyā bhī to kyā karegā
za.iif hone se qabl hī jab shabāb Dhal jaa.e aadmī kā
na itnī āsān shā.erī ho ki jis kā mafhūm hī na nikle
na itnī mushkil ki jis ko sun kar zehn pighal jaa.e aadmī kā
ye zindagī 'ḳhvāh-maḳhvāh' itnī azāb-e-jāñ aur tavīl bhī hai
agar na hoñ mahfileñ hañsī kī to dam nikal jaa.e aadmī kā
gham-e-musalsal ki is tapish mein ki jism jal jae aadmi ka
hansi ki halki phuwar bhi ho to kaam chal jae aadmi ka
mizah ki gar zara bhi his hai hansi ko aur qahqahe ko chhoDo
chaman mein gar phul muskura de to dil bahal jae aadmi ka
musibaton ka muqabla jo hamesha hanste hue karega
jo waqt mushkil mein aane wala to wo bhi Tal jae aadmi ka
kisi ko girne se Tokna mat durusht lahje mein yaad rakkho
tabassum-amez ho nasihat qadam sanbhal jae aadmi ka
zamana achchha guzar gaya to ye din bure bhi nahin rahenge
na ho agar ye fareb-e-paiham to dam nikal jae aadmi ka
gunahgaron aur aasiyon ko azab-e-dozaKH se waizo tum
Darao be-shak magar na itna ki dil dahal jae aadmi ka
ibaadaton ke muawze mein milegi jo aabidon ko jannat
tum us ka naqsha kuchh aisa khincho ki dil phisal jae aadmi ka
naza se pahle kare jo tauba wo apni rahmat se baKHsh dega
ajab nahin hai ki marte marte bhi dil badal jae aadmi ka
ye daur make-up ka aa gaya hai wo husn-e-sada kahan mile ab
ki jis ki bas ek jhalak ko dekhe to dil machal jae aadmi ka
faza-e-masmum mein sans le kar koi jiya bhi to kya karega
zaif hone se qabl hi jab shabab Dhal jae aadmi ka
na itni aasan shaeri ho ki jis ka mafhum hi na nikle
na itni mushkil ki jis ko sun kar zehn pighal jae aadmi ka
ye zindagi 'KHwah-maKHwah' itni azab-e-jaan aur tawil bhi hai
agar na hon mahfilen hansi ki to dam nikal jae aadmi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.