adu ki maut ka tumko agar malal hua
adū kī maut kā tum ko agar malāl huā
mujhe ḳhushī hai ki saale kā intiqāl huā
na is liye mujhe ġhurbat kā kuchh malāl huā
tumhāre husn kī daulat se mālā-māl huā
na duur dil se abhī tak tire malāl huā
adū kī maut ko hālāñki DeḌh saal huā
vo kaun hai ki na jis ko tirā ḳhayāl huā
har ik ḳhayāl kī zīnat tirā jamāl huā
kabhī na tum ko ġharīboñ kā kuchh ḳhayāl huā
usī ke ho ga.e jis kī girah meñ maal huā
na fā.eda hai na dushman kā intiqāl huā
paḌe hue use bistar pe ek saal huā
kiyā thā va.ada kabhī tum ne kal ke milne kā
tumhārī ek isī kal ko DeḌh saal huā
ḳhudā kī shaan hai bām-e-urūj par pahuñchā
vo dil jo aap kī Thokar se pā.emāl huā
tumhārā ghar nahīñ ḳhāsa ye mazbah-ḳhāna hai
jo bad-nasīb yahāñ aa gayā halāl huā
tumhārī teġh-e-adā se na bach sakā koī
jo aadhe zaḳhmī to ādhoñ kā intiqāl huā
vo māñgte haiñ usī din duā.eñ marne kī
marīz-e-ishq kā jis dam ḳharāb haal huā
paḌe haiñ saiñkaḌoñ teġh-e-nigāh ke zaḳhmī
ki achchhā ḳhāsā tirā ghar hī haspatāl huā
jahāñ bhī mil ga.e jabran lipaT gayā un ko
kabhī na raazī se puurā mirā savāl huā
ḳhudā ke vāste aa jaao ab to pahlū meñ
tumhāre hijr meñ jiinā mirā muhāl huā
usī ke ho ga.e ai 'būm' saiñkaḌoñ dushman
jahāñ meñ koī agar sāhib-e-kamāl huā
adu ki maut ka tum ko agar malal hua
mujhe KHushi hai ki sale ka intiqal hua
na is liye mujhe ghurbat ka kuchh malal hua
tumhaare husn ki daulat se mala-mal hua
na dur dil se abhi tak tere malal hua
adu ki maut ko haalanki DeDh sal hua
wo kaun hai ki na jis ko tera KHayal hua
har ek KHayal ki zinat tera jamal hua
kabhi na tum ko gharibon ka kuchh KHayal hua
usi ke ho gae jis ki girah mein mal hua
na faeda hai na dushman ka intiqal hua
paDe hue use bistar pe ek sal hua
kiya tha wada kabhi tum ne kal ke milne ka
tumhaari ek isi kal ko DeDh sal hua
KHuda ki shan hai baam-e-uruj par pahuncha
wo dil jo aap ki Thokar se paemal hua
tumhaara ghar nahin KHasa ye mazbah-KHana hai
jo bad-nasib yahan aa gaya halal hua
tumhaari tegh-e-ada se na bach saka koi
jo aadhe zaKHmi to aadhon ka intiqal hua
wo mangte hain usi din duaen marne ki
mariz-e-ishq ka jis dam KHarab haal hua
paDe hain sainkaDon tegh-e-nigah ke zaKHmi
ki achchha KHasa tera ghar hi haspatal hua
jahan bhi mil gae jabran lipaT gaya un ko
kabhi na raazi se pura mera sawal hua
KHuda ke waste aa jao ab to pahlu mein
tumhaare hijr mein jina mera muhaal hua
usi ke ho gae ai 'bum' sainkaDon dushman
jahan mein koi agar sahib-e-kamal hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.