announcer
surḳh battī ne ishāre se kahā hai bolo
khoj nazroñ kā miTā baat ke bandhan TuuTe
mere alfāz ko lahroñ kā koī paimāna
chhīn le jā.egā duurī ke bahāne jhūTe
muñh se jo nikle usī baat se naata chhūTe
dil meñ baaqī rahe mauhūm sā ehsās-e-ziyāñ
maiñ ye sochūñ ki har ik dasht bhī ābādī bhī
mere alfāz kī tash.hīr kā dekhegī samāñ
aur benām-o-nishāñ dekhī na bhālī lahreñ
ek aalam mirī bātoñ kā DhinDhorā pīTeñ
surKH batti ne ishaare se kaha hai bolo
khoj nazron ka miTa baat ke bandhan TuTe
mere alfaz ko lahron ka koi paimana
chhin le jaega duri ke bahane jhuTe
munh se jo nikle usi baat se nata chhuTe
dil mein baqi rahe mauhum sa ehsas-e-ziyan
main ye sochun ki har ek dasht bhi aabaadi bhi
mere alfaz ki tashhir ka dekhegi saman
aur benam-o-nishan dekhi na bhaali lahren
ek aalam meri baaton ka DhinDhora piTen
- Book : Muntakhab Shahkar Nazmon Ka Album) (Pg. 91)
- Author : Munavvar Jameel
- Publication : Haji Haneef Printer Lahore (2000)
- Edition : 2000
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.