arman mere dil ke nikalne nahin dete
armān mire dil ke nikalne nahīñ dete
vo daal mire ishq kī galne nahīñ dete
har roz kiyā karte haiñ vo ik nayā va.ada
ushshāq ko hāthoñ se nikalne nahīñ dete
rātoñ ko bhī ġhāza se chamaktā hai vo chehra
sūraj vo kabhī husn kā Dhalne nahīñ dete
har roz vo har ahd se phir jaate haiñ lekin
pahlī ke mire va.ade ko Talne nahīñ dete
ruḳhsār ke sho.ale hoñ ki hoñToñ kī tapish ho
parvānoñ ko is aag meñ jalne nahīñ dete
matlab pe jo aa jā.ūñ badal dete haiñ unvāñ
vo raaz mohabbat kā ugalne nahīñ dete
kahne kī hai āzādī magar baat ye sach hai
auroñ kī koī baat vo chalne nahīñ dete
daftar meñ bhī kuchh husn-e-butāñ hai mire aage
aafat se mirī jaan nikalne nahīñ dete
kuchh soch 'rahīm' ab to re.āyā hai ki raa.ī
vo kaun haiñ jo phūlne-phalne nahīñ dete
arman mere dil ke nikalne nahin dete
wo dal mere ishq ki galne nahin dete
har roz kiya karte hain wo ek naya wada
ushshaq ko hathon se nikalne nahin dete
raaton ko bhi ghaza se chamakta hai wo chehra
suraj wo kabhi husn ka Dhalne nahin dete
har roz wo har ahd se phir jate hain lekin
pahli ke mere wade ko Talne nahin dete
ruKHsar ke shoale hon ki honTon ki tapish ho
parwanon ko is aag mein jalne nahin dete
matlab pe jo aa jaun badal dete hain unwan
wo raaz mohabbat ka ugalne nahin dete
kahne ki hai aazadi magar baat ye sach hai
auron ki koi baat wo chalne nahin dete
daftar mein bhi kuchh husn-e-butan hai mere aage
aafat se meri jaan nikalne nahin dete
kuchh soch 'rahim' ab to reaya hai ki rai
wo kaun hain jo phulne-phalne nahin dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.