phanse kuchh aise hum aah-o-fughan ke dhoke mein
phañse kuchh aise ham āh-o-fuġhāñ ke dhoke meñ
dhuāñ sameT liyā āsmāñ ke dhoke meñ
ye kyā ḳhabar thī ki ḳhud kar rahe haiñ darbānī
lipaT gayā maiñ unhīñ pāsbāñ ke dhoke meñ
jo chhat kī tīliyāñ gal saḌ ke gir paḌeñ nīche
qafas pe barq girī āshiyāñ ke dhoke meñ
khuranD noch diye jab tamām zaḳhmoñ ke
rahe vo dil meñ mire gulsitāñ ke dhoke meñ
ye kis kā dar hai kuchh itnī ḳhabar nahīñ mujh ko
jhukāyā sar ko tire āstāñ ke dhoke meñ
shab-e-visāl meñ dāḌhī muñDā.ī kaam aa.ī
lipaT ga.e vo mujhe naujavāñ ke dhoke meñ
phañsī sarāb meñ mujh nā-murād kī kashtī
hai nāḳhudā abhī āb-e-ravāñ ke dhoke meñ
sunā.ī yaar ko sheroñ meñ ishq kī rūdād
vo aa ga.e mire tarz-e-bayāñ ke dhoke meñ
jo pūchhā ġhair ke ghar kyoñ ga.e to farmāyā
pahuñch ga.e vahāñ tere makāñ ke dhoke meñ
kiyā vo charb-zabānī se kaam qāsid ne
sunāyā haal mirā dāstāñ ke dhoke meñ
na hogā 'būm' sā duniyā meñ chūtiyā koī
bahār meñ bhī rahā ye ḳhizāñ ke dhoke meñ
phanse kuchh aise hum aah-o-fughan ke dhoke mein
dhuan sameT liya aasman ke dhoke mein
ye kya KHabar thi ki KHud kar rahe hain darbani
lipaT gaya main unhin pasban ke dhoke mein
jo chhat ki tiliyan gal saD ke gir paDen niche
qafas pe barq giri aashiyan ke dhoke mein
khuranD noch diye jab tamam zaKHmon ke
rahe wo dil mein mere gulsitan ke dhoke mein
ye kis ka dar hai kuchh itni KHabar nahin mujh ko
jhukaya sar ko tere aastan ke dhoke mein
shab-e-visal mein daDhi munDai kaam aai
lipaT gae wo mujhe naujawan ke dhoke mein
phansi sarab mein mujh na-murad ki kashti
hai naKHuda abhi aab-e-rawan ke dhoke mein
sunai yar ko sheron mein ishq ki rudad
wo aa gae mere tarz-e-bayan ke dhoke mein
jo puchha ghair ke ghar kyon gae to farmaya
pahunch gae wahan tere makan ke dhoke mein
kiya wo charb-zabani se kaam qasid ne
sunaya haal mera dastan ke dhoke mein
na hoga 'bum' sa duniya mein chutiya koi
bahaar mein bhi raha ye KHizan ke dhoke mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.