tauba tauba se nadamat ki ghaDi aai hai
tauba tauba se nadāmat kī ghaḌī aa.ī hai
mai-kade par baḌī ghanghor ghaTā chhā.ī hai
rañg kuchh itnā mirī vahshat-e-dil laa.ī hai
majma-e-ām hai aur aap kā saudā.ī hai
ashk piitā huuñ to lo dete haiñ chhāle dil ke
aah kartā huuñ to phir ishq kī rusvā.ī hai
lau na dene lageñ jalte hue gul ke ruḳhsār
āriz-e-gul pe jo shabnam ne jagah paa.ī hai
maiñ tasavvur kī hadoñ se bhī guzar jā.ūñgā
mujh se milne meñ agar aap kī rusvā.ī hai
jab bhī uljhā hai sukūt-e-shab-e-ġham se mirā dil
terī yādoñ ne tabī.at mirī bahlā.ī hai
shaiḳh-sāhib kī nasīhat bharī bātoñ ke liye
kitnā rañgīn javāb aap kī añgḌā.ī hai
jab kabhī tark-e-mai-o-jām kā aayā hai ḳhayāl
mauj se phir tirī tasvīr ubhar aa.ī hai
apnī taqdīr pe be-sāḳhta aa.ī hai hañsī
jab bhī kashtī koī sāhil pe nazar aa.ī hai
kahkashāñ Daale hai chehre pe rūpahlā āñchal
chāñdnī paañv tale bichhne chalī aa.ī hai
kaun kahtā hai bulandī pe nahīñ huuñ 'sāgar'
merī me.arāj-e-mohabbat mirī rusvā.ī hai
tauba tauba se nadamat ki ghaDi aai hai
mai-kade par baDi ghanghor ghaTa chhai hai
rang kuchh itna meri wahshat-e-dil lai hai
majma-e-am hai aur aap ka saudai hai
ashk pita hun to lo dete hain chhaale dil ke
aah karta hun to phir ishq ki ruswai hai
lau na dene lagen jalte hue gul ke ruKHsar
aariz-e-gul pe jo shabnam ne jagah pai hai
main tasawwur ki hadon se bhi guzar jaunga
mujh se milne mein agar aap ki ruswai hai
jab bhi uljha hai sukut-e-shab-e-gham se mera dil
teri yaadon ne tabiat meri bahlai hai
shaiKH-sahib ki nasihat bhari baaton ke liye
kitna rangin jawab aap ki angDai hai
jab kabhi tark-e-mai-o-jam ka aaya hai KHayal
mauj se phir teri taswir ubhar aai hai
apni taqdir pe be-saKHta aai hai hansi
jab bhi kashti koi sahil pe nazar aai hai
kahkashan Dale hai chehre pe rupahla aanchal
chandni panw tale bichhne chali aai hai
kaun kahta hai bulandi pe nahin hun 'sagar'
meri mearaj-e-mohabbat meri ruswai hai
- Book : Kulliyat-e-Saghar Khayyami (Pg. 361)
- Author : Saghar Khayyami
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd. (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.