temporary job
ban gayā huuñ maiñ minister raat ko dekhā ye ḳhvāb
sāmne rakkhe haiñ mere toast makkhan aur sharāb
sāmne baiThī huī hai ik hasīñ sī chhokarī
kah rahī hai bā-adab huuñ aap kī secretory
kaalī āñkheñ gore aariz zulf mānind-e-sahāb
shoḳh lab vo shoḳh lahja mast āñkhoñ meñ sharāb
sharm se bojhal vo āñkheñ lab pe halkī sī hañsī
gore gore ārizoñ par zulf vo bikhrī huī
shoḳhiyoñ se pur thā siina mastiyoñ se chuur thī
naam kī secretory thī dar-haqīqat huur thī
sāmne baiThī huī thī vo ajab andāz se
māñgtī thī mujh se promotion nigāh-e-nāz se
faḳhr se maiñ ne kahā ki rūh-o-jāñ detā huuñ maiñ
rūh-o-jāñ kyā chiiz hai hindostāñ detā huuñ maiñ
jab maiñ mahv-e-āshiqī thā aur mahv-e-dil-lagī
be-pukāre aa gayā kamre meñ mere ardalī
aa gayā ġhussa mujhe us nāqis-o-hanjār par
bas baras hī maiñ paḌā us kāfir-o-makkār par
kar diyā barḳhāst tum ko jaao baiTho apne ghar
sun ke vo chakrā gayā aur rakh diyā qadmoñ pe sar
chhoTe chhoTe mere bachche haiñ raham kiije janāb
us ke is kahne se mere aur baḌhe kuchh pech-o-tāb
rakh rahā hai kyuuñ ghaḌā sā sar hamāre pair par
kuchh ḳhabar bhī hai tujhe bhārī hai terā kitnā sar
s.pñ ke DāñTne se aañkh merī khul ga.ī
ye hasīñ tasvīr-e-shāhī is tarah se dhul ga.ī
sar uThā ke maiñ ne dekhā ho rahī thī sub.h-e-ġham
chhaT chukā thā āsmān-e-ḳhvāb se abr-e-karam
tajraba mujh ko huā hai dosto! is ḳhvāb se
mustaqil chaprāsī achchhā temporary job se
ban gaya hun main minister raat ko dekha ye KHwab
samne rakkhe hain mere toast makkhan aur sharab
samne baiThi hui hai ek hasin si chhokari
kah rahi hai ba-adab hun aap ki secretory
kali aankhen gore aariz zulf manind-e-sahab
shoKH lab wo shoKH lahja mast aankhon mein sharab
sharm se bojhal wo aankhen lab pe halki si hansi
gore gore aarizon par zulf wo bikhri hui
shoKHiyon se pur tha sina mastiyon se chur thi
nam ki secretory thi dar-haqiqat hur thi
samne baiThi hui thi wo ajab andaz se
mangti thi mujh se promotion nigah-e-naz se
faKHr se main ne kaha ki ruh-o-jaan deta hun main
ruh-o-jaan kya chiz hai hindostan deta hun main
jab main mahw-e-ashiqi tha aur mahw-e-dil-lagi
be-pukare aa gaya kamre mein mere ardali
aa gaya ghussa mujhe us naqis-o-hanjar par
bas baras hi main paDa us kafir-o-makkar par
kar diya barKHast tum ko jao baiTho apne ghar
sun ke wo chakra gaya aur rakh diya qadmon pe sar
chhoTe chhoTe mere bachche hain raham kije janab
us ke is kahne se mere aur baDhe kuchh pech-o-tab
rakh raha hai kyun ghaDa sa sar hamare pair par
kuchh KHabar bhi hai tujhe bhaari hai tera kitna sar
spn ke DanTne se aankh meri khul gai
ye hasin taswir-e-shahi is tarah se dhul gai
sar uTha ke main ne dekha ho rahi thi subh-e-gham
chhaT chuka tha aasman-e-KHwab se abr-e-karam
tajraba mujh ko hua hai dosto! is KHwab se
mustaqil chaprasi achchha temporary job se
- Book : Kulliyat-e-Saghar Khayyami (Pg. 125)
- Author : Saghar Khayyami
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd. (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.