tum bhul gae shayad
vo jo duudh shahd kī khiir thī
vo jo narm misl-e-harīr thī
vo jo aamle kā achār thā
tumheñ yaad ho ki na yaad ho
jo hiran ke sīḳh-kabāb the
vo javāb apnā javāb the
vo jo Quetta kā anaar thā
vo jo ham meñ tum meñ qarār thā
tumheñ yaad ho ki na yaad ho
vo jo seb zīnat-e-bāġh the
vo jo shāḳh shāḳh charāġh the
vo jo ālūoñ ko buḳhār thā
vo jo ham meñ tum meñ qarār thā
tumheñ yaad ho ki na yaad ho
vo raqīb ke jo baġhair thī
vo jo chāñd raat kī sair thī
vo jo ahd-e-fasl-e-bahār thā
vo jo ham meñ tum meñ qarār thā
mujhe sab hai yaad zarā zarā
tumheñ yaad ho ki na yaad ho
wo jo dudh shahd ki khir thi
wo jo narm misl-e-harir thi
wo jo aamle ka achaar tha
tumhein yaad ho ki na yaad ho
jo hiran ke siKH-kabab the
wo jawab apna jawab the
wo jo Quetta ka anar tha
wo jo hum mein tum mein qarar tha
tumhein yaad ho ki na yaad ho
wo jo seb zinat-e-bagh the
wo jo shaKH shaKH charagh the
wo jo aaluon ko buKHar tha
wo jo hum mein tum mein qarar tha
tumhein yaad ho ki na yaad ho
wo raqib ke jo baghair thi
wo jo chand raat ki sair thi
wo jo ahd-e-fasl-e-bahaar tha
wo jo hum mein tum mein qarar tha
mujhe sab hai yaad zara zara
tumhein yaad ho ki na yaad ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.