Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uchhalta kudta hai KHush dil-e-diwana hota hai

Boom Merathi

uchhalta kudta hai KHush dil-e-diwana hota hai

Boom Merathi

MORE BYBoom Merathi

    uchhaltā kūdtā hai ḳhush dil-e-dīvāna hotā hai

    nazar ke sāmne jab jalva-e-jānāna hotā hai

    mirī ḳhaslat se nā-ḳhush apnā aur begāna hotā hai

    jahāñ maiñ baiTh jaatā huuñ vahīñ vīrāna hotā hai

    mere kandhoñ pe rakh de sāqiyā dūkān ko apnī

    jahāñ do botaleñ rakh diiñ vahī mai-ḳhāna hotā hai

    sham.a kuchh phūkne ke vāste ghar par nahīñ jaatī

    fidā ullū paTThā aa ke ḳhud parvāna hotā hai

    abe saaqī nahīñ hai jaam to is taraf botal

    zarā TunTunī ko toḌ duuñ paimāna hotā hai

    janāb-e-shaiḳh is vaqt meñ khiñche koī photo

    ki jab botal baġhal meñ haath meñ paimāna hotā hai

    naqab kar ke churā lete haiñ ham piipe sharāboñ ke

    ki jis dam band aadhī raat ko mai-ḳhāna hotā hai

    shab-e-va.ada bāteñ tum jo kah dete ho ghar kar

    unhīñ bātoñ baḌhte baḌhte ek afsāna hotā hai

    uchhalta kudta hai KHush dil-e-diwana hota hai

    nazar ke samne jab jalwa-e-jaanana hota hai

    meri KHaslat se na-KHush apna aur begana hota hai

    jahan main baiTh jata hun wahin virana hota hai

    mere kandhon pe rakh de saqiya dukan ko apni

    jahan do botalen rakh din wahi mai-KHana hota hai

    shama kuchh phukne ke waste ghar par nahin jati

    fida ullu ka paTTha aa ke KHud parwana hota hai

    abe saqi nahin hai jam to la is taraf botal

    zara si TunTuni ko toD dun paimana hota hai

    janab-e-shaiKH ka is waqt mein khinche koi photo

    ki jab botal baghal mein hath mein paimana hota hai

    naqab kar ke chura lete hain hum pipe sharabon ke

    ki jis dam band aadhi raat ko mai-KHana hota hai

    shab-e-wada ki baaten tum jo kah dete ho ghar ja kar

    unhin baaton ka baDhte baDhte ek afsana hota hai

    Source :

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now