ulfat ka kya maza hai idhar ho udhar na ho
ulfat kā kyā mazā hai idhar ho udhar na ho
ham ko to dard-e-dil ho udhar dard-e-sar na ho
yā-rab kabhī to de hameñ ḳhalvat kā ik pahar
lorry meñ merā un kā koī ham-safar na ho
ahd-e-jadīd meñ na.e sāmān-e-ishq haiñ
kyā lutf ishq-bāzī kā jo phone par na ho
maiñ un ke saath dasht meñ bhī jā ke ḳhush rahūñ
lekin sanam ke baTve pe merī nazar na ho
merā tabīb bolā mire dostoñ se kal
chaltā huuñ gar marīz ko dard-e-jigar na ho
maiñ aur sanam akele kareñ khul ke bāt-chīt
television ho aur koī nāma-bar na ho
'laq-laq' kā ghar jo dekhā to kahne lagā vo shoḳh
dushman ko bhī nasīb koī aisā ghar na ho
ulfat ka kya maza hai idhar ho udhar na ho
hum ko to dard-e-dil ho udhar dard-e-sar na ho
ya-rab kabhi to de hamein KHalwat ka ek pahar
lorry mein mera un ka koi ham-safar na ho
ahd-e-jadid mein nae saman-e-ishq hain
kya lutf ishq-bazi ka jo phone par na ho
main un ke sath dasht mein bhi ja ke KHush rahun
lekin sanam ke baTwe pe meri nazar na ho
mera tabib bola mere doston se kal
chalta hun gar mariz ko dard-e-jigar na ho
main aur sanam akele karen khul ke baat-chit
telewision ho aur koi nama-bar na ho
'laq-laq' ka ghar jo dekha to kahne laga wo shoKH
dushman ko bhi nasib koi aisa ghar na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.