unki rawish mein gardish-e-parkar dekh kar
unki rawish mein gardish-e-parkar dekh kar
Uma Shankar Chitravanshi Bazal
MORE BYUma Shankar Chitravanshi Bazal
un kī ravish meñ gardish-e-parkār dekh kar
ham kyā kareñ zamāne kī raftār dekh kar
chehre ko powder se girāñ-bār dekh kar
dil surañgoñ hai rañg-e-ruḳh-e-yār dekh kar
hairat-zada haiñ shaiḳh barahman haiñ dam-ba-ḳhud
bahrūpiyoñ kā lashkar-e-jarrār dekh kar
saaqī ne un ko bhañg pilā.ī mujhe sharāb
''dete haiñ baada zarf-e-qadah-ḳhvār dekh kar''
fāqoñ ne Thoñk piiT ke chūleñ biThāl diiñ
vo mutma.in haiñ peT ko hamvār dekh kar
un ki rawish mein gardish-e-parkar dekh kar
hum kya karen zamane ki raftar dekh kar
chehre ko powder se giran-bar dekh kar
dil surangon hai rang-e-ruKH-e-yar dekh kar
hairat-zada hain shaiKH barahman hain dam-ba-KHud
bahrupiyon ka lashkar-e-jarrar dekh kar
saqi ne un ko bhang pilai mujhe sharab
dete hain baada zarf-e-qadah-KHwar dekh kar
faqon ne Thonk piT ke chulen biThaal din
wo mutmain hain peT ko hamwar dekh kar
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 162)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.