ustad mar gae
baiThā huā thā ghar meñ ki dastak kisī ne dī
dekhā lañgoT bāñdhe hue maut hai khaḌī
khole hue hai muñh ko kisī ġhaar kī tarah
bikhre hue haiñ baal shab-e-tār kī tarah
changul meñ haiñ phañse hue yārān-e-tez-rau
jeboñ se jhāñkte haiñ asīrān-e-nau-ba-nau
kapḌe ke thaan se baḌī hāthoñ meñ naan hai
dāñtoñ-tale dabī huī hāthī kī raan hai
dam phūltā hai dekh ke 'rustam' kā 'zāl' kā
oḌhe hue hai chādrā geñDe kī khaal kā
baġhloñ meñ haiñ dabe hue Dabbe jo rail ke
piipe dikhā.ī dete haiñ miTTī ke tel ke
yaksāñ amal hai maut kā rome o hijāz par
panjā dhare khaḌī hai havā.ī-jahāz par
ham bhī khaḌe haiñ sāmne majbūr kī tarah
tarbūz phāñktī hai vo añgūr kī tarah
ham ne kahā ki aa.iye tashrīf lā.iye
kyuuñ shā.eroñ ko maar rahī haiñ batā.iye
'ġhaurī' ga.e 'firāq' ga.e josh bhī ga.e
ḳhāmosh tere saath meñ 'ḳhāmosh' bhī ga.e
sāhir se jādū-gar ko bhī marhūm kar diyā
aur 'faiz' ko bhī faiz se mahrūm kar diyā
dīvār dhaḌ se gir ga.ī husn-e-ḳhayāl kī
qad-āvarī pasand na aa.ī 'hilāl' kī
'nāzir' kā kyā javāb thā tanz-o-mazāh meñ
us ko bhī tū ne le liyā apne nikāh meñ
kahne lagī ye maut ki kiije hameñ muaaf
allāh shā.eroñ ke hamesha se hai ḳhilāf
aadhe lahad meñ paañv haiñ aur shaġhl-e-mai-kashī
sattar baras ke san meñ bhī iz.hār-e-āshiqī
kahtā nahīñ hai koī bhī ash.ār-e-bāliġha
allāh ko pasand nahīñ hai mubālaġha
āshiq firāq-e-yār meñ rotā hai is qadar
arsh-e-barīñ pe chaḌhtā hai paanī kamar kamar
zulf-e-darāz jab khulī tanhā.ī baḌh ga.ī
tūl-e-shab-e-firāq se lambā.ī baḌh ga.ī
jo vaqt niiñd kā hai tum us meñ jagāte ho
be-vaj.h sāma.īn ko shab bhar satāte ho
ham ne kahā ki is liye un ko jagāte haiñ
ghar meñ rahe haiñ log to bachche banāte haiñ
kahne lagī ki saḳht haiñ māhaul ke liye
kaafī hamāre haath haiñ control ke liye
golā zamīñ kā maar duuñ fōtbāl kī tarah
jhāḌū nagar pe pher duuñ bhopal kī tarah
uTThe mirī nigāh to patthar meñ raah ho
funkār maar duuñ to zamāna tabāh ho
ham ne kahā ki shak hai hameñ terī zaat par
terā karam hai kis liye in shā.erāt par
duniyā tabāh karne meñ in ke bhī haath haiñ
ye bhī to shā.eroñ kī sharīk-e-hayāt haiñ
kyuuñ pā-e-shauq rahtā hai shā.er ke haath meñ
in meñ se ek bhī na ga.ī tere saath meñ
hañs kar diyā javāb ki un ko bhī ā.eñge
jis roz sher kahte hue un ko pā.eñge
un ke gunāh kyā kaheñ kis kis ke sar ga.e
tum ko ḳhabar nahīñ ka.ī ustād mar ga.e
baiTha hua tha ghar mein ki dastak kisi ne di
dekha langoT bandhe hue maut hai khaDi
khole hue hai munh ko kisi ghaar ki tarah
bikhre hue hain baal shab-e-tar ki tarah
changul mein hain phanse hue yaran-e-tez-rau
jebon se jhankte hain asiran-e-nau-ba-nau
kapDe ke than se baDi hathon mein nan hai
danton-tale dabi hui hathi ki ran hai
dam phulta hai dekh ke 'rustam' ka 'zal' ka
oDhe hue hai chadra genDe ki khaal ka
baghlon mein hain dabe hue Dabbe jo rail ke
pipe dikhai dete hain miTTi ke tel ke
yaksan amal hai maut ka rome o hijaz par
panja dhare khaDi hai hawai-jahaz par
hum bhi khaDe hain samne majbur ki tarah
tarbuz phankti hai wo angur ki tarah
hum ne kaha ki aaiye tashrif laiye
kyun shaeron ko mar rahi hain bataiye
'ghauri' gae 'firaq' gae josh bhi gae
KHamosh tere sath mein 'KHamosh' bhi gae
sahir se jadu-gar ko bhi marhum kar diya
aur 'faiz' ko bhi faiz se mahrum kar diya
diwar dhaD se gir gai husn-e-KHayal ki
qad-awari pasand na aai 'hilal' ki
'nazir' ka kya jawab tha tanz-o-mazah mein
us ko bhi tu ne le liya apne nikah mein
kahne lagi ye maut ki kije hamein muaf
allah shaeron ke hamesha se hai KHilaf
aadhe lahad mein panw hain aur shaghl-e-mai-kashi
sattar baras ke san mein bhi izhaar-e-ashiqi
kahta nahin hai koi bhi ashaar-e-baaligha
allah ko pasand nahin hai mubaalagha
aashiq firaq-e-yar mein rota hai is qadar
arsh-e-barin pe chaDhta hai pani kamar kamar
zulf-e-daraaz jab khuli tanhai baDh gai
tul-e-shab-e-firaq se lambai baDh gai
jo waqt nind ka hai tum us mein jagate ho
be-wajh samain ko shab bhar satate ho
hum ne kaha ki is liye un ko jagate hain
ghar mein rahe hain log to bachche banate hain
kahne lagi ki saKHt hain mahaul ke liye
kafi hamare hath hain control ke liye
gola zamin ka mar dun footbaal ki tarah
jhaDu nagar pe pher dun bhopal ki tarah
uTThe meri nigah to patthar mein rah ho
funkar mar dun to zamana tabah ho
hum ne kaha ki shak hai hamein teri zat par
tera karam hai kis liye in shaeraat par
duniya tabah karne mein in ke bhi hath hain
ye bhi to shaeron ki sharik-e-hayat hain
kyun pa-e-shauq rahta hai shaer ke hath mein
in mein se ek bhi na gai tere sath mein
hans kar diya jawab ki un ko bhi aaenge
jis roz sher kahte hue un ko paenge
un ke gunah kya kahen kis kis ke sar gae
tum ko KHabar nahin kai ustad mar gae
- Book : Kulliyat-e-Saghar Khayyami (Pg. 32)
- Author : Saghar Khayyami
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.