warghalane ki ijazat nahin di jaegi
varġhalāne kī ijāzat nahīñ dī jā.egī
shāmiyāne kī ijāzat nahīñ dī jā.egī
ek raqqās ne gā gā ke sunā.ī ye ḳhabar
naach gaane kī ijāzat nahīñ dī jā.egī
us ke ruḳhsār pe hai aur tire hoñT pe til
tilmilāne kī ijāzat nahīñ dī jā.egī
lawn meñ tiin gad.he aur ye notice dekhā
ghaas khāne kī ijāzat nahīñ dī jā.egī
bas tumheñ itnī ijāzat hai ki shādī kar lo
shāḳhsāne kī ijāzat nahīñ dī jā.egī
maktab-e-fikr hai schōl nahīñ hai sāhab
qaumiyāne kī ijāzat nahīñ dī jā.egī
phir to tum sar pe uThā loge zamāne-bhar ko
sar uThāne kī ijāzat nahīñ dī jā.egī
warghalane ki ijazat nahin di jaegi
shamiyane ki ijazat nahin di jaegi
ek raqqas ne ga ga ke sunai ye KHabar
nach gane ki ijazat nahin di jaegi
us ke ruKHsar pe hai aur tere honT pe til
tilmilane ki ijazat nahin di jaegi
lawn mein tin gadhe aur ye notice dekha
ghas khane ki ijazat nahin di jaegi
bas tumhein itni ijazat hai ki shadi kar lo
shaKHsane ki ijazat nahin di jaegi
maktab-e-fikr hai school nahin hai sahab
qaumiyane ki ijazat nahin di jaegi
phir to tum sar pe uTha loge zamane-bhar ko
sar uThane ki ijazat nahin di jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.