waziron ki adakari jo pahle thi sab ab bhi hai
waziron ki adakari jo pahle thi sab ab bhi hai
Masroor Shahjahanpuri
MORE BYMasroor Shahjahanpuri
vazīroñ kī adākārī jo pahle thī sab ab bhī hai
vahī nas nas meñ makkārī jo pahle thī so ab bhī hai
vahī masjid vahī mandir vahī nafrat bhare bhāshan
vahī talvār do-dhārī jo pahle thī so ab bhī hai
commission par commission khā rahe haiñ desh ke leader
vo bandar-bāñT sarkārī jo pahle thī so ab bhī hai
ġharībī kā vo infection vo antibiotic na.are
vo d d T kī pichkārī jo pahle thī so ab bhī hai
shifā-ḳhāne badal Daale badal Daalā tabīboñ ko
magar sūkhe kī bīmārī jo pahle thī so ab bhī hai
the pahle kārvāñ ḳhatre meñ ab haiñ rail meñ Daake
safar karne meñ dushvārī jo pahle thī so ab bhī hai
hazāroñ ne.amateñ haiñ apne dastarḳhvān par be-shak
magar aalū kī tarkārī jo pahle thī so ab bhī hai
ḳhudā rakkhe vo sāḌhe saat bachchoñ kī haiñ maañ lekin
adāoñ meñ vo bambārī jo pahle thī so ab bhī hai
mirī masjid meñ iftārī pe ab tak roza-dāroñ kī
vahī yalġhār-e-tātārī jo pahle thī so ab bhī hai
zamāna laakh barte be-ruḳhī 'masrūr' ko dekho
tabī.at meñ milan-sārī jo pahle thī so ab bhī hai
waziron ki adakari jo pahle thi sab ab bhi hai
wahi nas nas mein makkari jo pahle thi so ab bhi hai
wahi masjid wahi mandir wahi nafrat bhare bhashan
wahi talwar do-dhaari jo pahle thi so ab bhi hai
commission par commission kha rahe hain desh ke leader
wo bandar-banT sarkari jo pahle thi so ab bhi hai
gharibi ka wo infection wo antibiotic nare
wo d d T ki pichkari jo pahle thi so ab bhi hai
shifa-KHane badal Dale badal Dala tabibon ko
magar sukhe ki bimari jo pahle thi so ab bhi hai
the pahle karwan KHatre mein ab hain rail mein Dake
safar karne mein dushwari jo pahle thi so ab bhi hai
hazaron neamaten hain apne dastarKHwan par be-shak
magar aalu ki tarkari jo pahle thi so ab bhi hai
KHuda rakkhe wo saDhe sat bachchon ki hain man lekin
adaon mein wo bambari jo pahle thi so ab bhi hai
meri masjid mein iftari pe ab tak roza-daron ki
wahi yalghaar-e-tatari jo pahle thi so ab bhi hai
zamana lakh barte be-ruKHi 'masrur' ko dekho
tabiat mein milan-sari jo pahle thi so ab bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.