wo apni nak pe ghusse ko dhar ke dekhte hain
vo apnī naak pe ġhusse ko dhar ke dekhte haiñ
ham un kī samt jo dekheñ to Dar ke dekhte haiñ
ḳharīdte haiñ vo sab shoḳh suit apne liye
hamāre vāste halke color ke dekhte haiñ
kiyā huā hai use deiting ne itnā slim
so us kī pics ko ham zoom kar ke dekhte haiñ
phir is ke baa'd vo daftar meñ aur ham office
sahar ke vaqt hī jalve sahar ke dekhte haiñ
tasavvurāt meñ fōtball sā uchhaltā hai
kabhī jo kanghī meñ ham baal sar ke dekhte haiñ
jo ahl-e-‘ishq haiñ dete haiñ zor burger par
jo ahl-e-husn haiñ sapne dinner ke dekhte haiñ
nahīñ ba’īd ki do roTiyāñ pakā Daale
tave ko dosto chūlhe pe dhar ke dekhte haiñ
wo apni nak pe ghusse ko dhar ke dekhte hain
hum un ki samt jo dekhen to Dar ke dekhte hain
KHaridte hain wo sab shoKH suit apne liye
hamare waste halke color ke dekhte hain
kiya hua hai use deiting ne itna slim
so us ki pics ko hum zoom kar ke dekhte hain
phir is ke ba'd wo daftar mein aur hum office
sahar ke waqt hi jalwe sahar ke dekhte hain
tasawwuraat mein football sa uchhalta hai
kabhi jo kanghi mein hum baal sar ke dekhte hain
jo ahl-e-‘ishq hain dete hain zor burger par
jo ahl-e-husn hain sapne dinner ke dekhte hain
nahin ba’id ki do roTiyan paka Dale
tawe ko dosto chulhe pe dhar ke dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.