wo mushaera koi aur hai
tere fan ke parde meñ jalva-gar koī aur thā koī aur hai
jo hasīn sher na kah sake vo mire sivā koī aur hai
mujhe in dinoñ yahī fikr hai ki kidhar nigāh-e-karam karūñ
mujhe chāhtā koī aur hai mujhe māñgtā koī aur hai
mujhe note jab milā biis kā to samajh meñ ḳhud hī ye aa gayā
jahāñ do hazār kī baat thī vo mushā.era koī aur hai
tū ḳhulūs-e-dil se ye ahd kar ki rahegā saath tū umr bhar
na yahāñ mirā koī aur hai na yahāñ tirā koī aur hai
tū hai terah bachchoñ kī maañ to kyā abhī kuchh baḌhegā ye qāfila
ba-ḳhudā nashāt-e-umīd kā abhī marhala koī aur hai
tere fan ke parde mein jalwa-gar koi aur tha koi aur hai
jo hasin sher na kah sake wo mere siwa koi aur hai
mujhe in dinon yahi fikr hai ki kidhar nigah-e-karam karun
mujhe chahta koi aur hai mujhe mangta koi aur hai
mujhe note jab mila bis ka to samajh mein KHud hi ye aa gaya
jahan do hazar ki baat thi wo mushaera koi aur hai
tu KHulus-e-dil se ye ahd kar ki rahega sath tu umr bhar
na yahan mera koi aur hai na yahan tera koi aur hai
tu hai terah bachchon ki man to kya abhi kuchh baDhega ye qafila
ba-KHuda nashat-e-umid ka abhi marhala koi aur hai
- Book : Ha.ns Kar Guzar De (Pg. 107)
- Author : Sayed Ejazuddin Shah Papular Merthi
- Publication : Maktaba Jamia Ltd. Jamia Nagar (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.