wo nonsense hai itna mujhe pata nahin tha
vo nonsense hai itnā mujhe pata nahīñ thā
ki qul pe us se latīfa kabhī sunā nahīñ thā
jo band karnā thā dariyā ko tum ne kuuze meñ
to ek aam sā loTā ḳharīdnā nahīñ thā
nikāl baiThā thā dandān-sāz bhūle se
vo daaḌh jis meñ zarā sā bhī mas.ala nahīñ thā
khulā ye ba.ad meñ mujh par vo khiir thī dar-asl
jise pulāv pe Daalā thaa, rā.ita nahīñ thā
janāb-e-shaiḳh ga.e the jahāñ pe maTke samet
vo ik stall thā lassī kaa, mai-kada nahīñ thā
wo nonsense hai itna mujhe pata nahin tha
ki qul pe us se latifa kabhi suna nahin tha
jo band karna tha dariya ko tum ne kuze mein
to ek aam sa loTa KHaridna nahin tha
nikal baiTha tha dandan-saz bhule se
wo daDh jis mein zara sa bhi masala nahin tha
khula ye baad mein mujh par wo khir thi dar-asl
jise pulaw pe Dala tha, raita nahin tha
janab-e-shaiKH gae the jahan pe maTke samet
wo ek stall tha lassi ka, mai-kada nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.