wo shaKHs jis ke pas koi mal-o-zar nahin
vo shaḳhs jis ke paas koī māl-o-zar nahīñ
vo ḳhush-nasīb hai use apnoñ kā Dar nahīñ
āshiq huuñ un pe un kī vilādat ke vaqt se
aur vo ye kah rahe haiñ mujhe kuchh ḳhabar nahīñ
vo fikrmand haiñ ki mujhe jail bhej deñ
un ko bhī hai patā mire rahne ko ghar nahīñ
ushshāq mubtalā haiñ election meñ in dinoñ
mahbūb kī galī meñ koī shor-o-shar nahīñ
sunte haiñ chhat se gir ke vo majrūh ho ga.e
kahtā hai kaun merī duā meñ asar nahīñ
apne tiffin ko saath hī rakhnā mufīd hai
'masrūr' is jahāñ meñ koī mo'atabar nahīñ
wo shaKHs jis ke pas koi mal-o-zar nahin
wo KHush-nasib hai use apnon ka Dar nahin
aashiq hun un pe un ki wiladat ke waqt se
aur wo ye kah rahe hain mujhe kuchh KHabar nahin
wo fikrmand hain ki mujhe jail bhej den
un ko bhi hai pata mere rahne ko ghar nahin
ushshaq mubtala hain election mein in dinon
mahbub ki gali mein koi shor-o-shar nahin
sunte hain chhat se gir ke wo majruh ho gae
kahta hai kaun meri dua mein asar nahin
apne tiffin ko sath hi rakhna mufid hai
'masrur' is jahan mein koi mo'atabar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.