wo shaKHs kabhi jis ne mera ghar nahin dekha
vo shaḳhs kabhī jis ne mirā ghar nahīñ dekhā
us shaḳhs ko maiñ ne kabhī ghar par nahīñ dekhā
kyā dekhoge hāl-e-dil-e-barbād ki tum ne
curfew meñ mire shahr kā manzar nahīñ dekhā
jaañ dene ko pahuñche the sabhī terī galī meñ
bhāge to kisī ne bhī palaT kar nahīñ dekhā
dāḌhī tire chehre pe nahīñ hai to ajab kyā
yāroñ ne tire peT ke andar nahīñ dekhā
tafrīh ye hotī hai ki ham sair kī ḳhātir
sāhil pe ga.e aur samundar nahīñ dekhā
fōtpath pe bhī ab nazar aate haiñ commissioner
kyā tum ne koī oth commissioner nahīñ dekhā
afsos ki ik shaḳhs ko dil dene se pahle
maTke kī tarah Thoñk bajā kar nahīñ dekhā
wo shaKHs kabhi jis ne mera ghar nahin dekha
us shaKHs ko main ne kabhi ghar par nahin dekha
kya dekhoge haal-e-dil-e-barbaad ki tum ne
curfew mein mere shahr ka manzar nahin dekha
jaan dene ko pahunche the sabhi teri gali mein
bhage to kisi ne bhi palaT kar nahin dekha
daDhi tere chehre pe nahin hai to ajab kya
yaron ne tere peT ke andar nahin dekha
tafrih ye hoti hai ki hum sair ki KHatir
sahil pe gae aur samundar nahin dekha
footpath pe bhi ab nazar aate hain commissioner
kya tum ne koi oth commissioner nahin dekha
afsos ki ek shaKHs ko dil dene se pahle
maTke ki tarah Thonk baja kar nahin dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.