yar ko aazma ke dekh liya
yaar ko aazmā ke dekh liyā
party meñ bulā ke dekh liyā
nahīñ suntā koī fuġhān-e-ġharīb
radio par bhī gā ke dekh liyā
mere dil kī lagī nahīñ bujhtī
barf meñ dil lagā ke dekhā liyā
maut bhī ham se bhāgtī hai duur
car ke nīche aa ke dekh liyā
ye jarāsīm-e-ishq mar na sake
ham ne Tiike karā ke dekh liyā
apne dil kā pata nahīñ miltā
x-ray bhī karā ke dekh liyā
is jahāñ meñ kahāñ vafā 'laq-laq'
ḳhuub Thoñk aur bajā ke dekh liyā
yar ko aazma ke dekh liya
party mein bula ke dekh liya
nahin sunta koi fughan-e-gharib
radio par bhi ga ke dekh liya
mere dil ki lagi nahin bujhti
barf mein dil laga ke dekha liya
maut bhi hum se bhagti hai dur
car ke niche aa ke dekh liya
ye jarasim-e-ishq mar na sake
hum ne Tike kara ke dekh liya
apne dil ka pata nahin milta
x-ray bhi kara ke dekh liya
is jahan mein kahan wafa 'laq-laq'
KHub Thonk aur baja ke dekh liya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.