ye hadsa hai bata de koi zamane ko
ye hādsa hai batā de koī zamāne ko
ki ham ne aag lagā.ī hai āshiyāne ko
tumheñ sakūñ to kisī kal mile chaman vaalo
chalo jalā diyā ḳhud ham ne āshiyāne ko
sulūk-e-lutf o nigāh-e-karam se ai saaqī
sharāb-ḳhāna banā de sharāb-ḳhāne ko
ye bāda-ḳhvār jo qaidī haiñ nashsha-bandī ke
sharāb-ḳhāna banā deñge qaid-ḳhāne ko
tum apnī teġh ke dāman ko kyuuñ bhigote ho
jahāñ meñ aur bhī ġham haiñ mire miTāne ko
nahīñ hai vaqt abhī sāzgār ai 'sāġhar'
kabhī to hogī mirī justujū zamāne ko
ye hadsa hai bata de koi zamane ko
ki hum ne aag lagai hai aashiyane ko
tumhein sakun to kisi kal mile chaman walo
chalo jala diya KHud hum ne aashiyane ko
suluk-e-lutf o nigah-e-karam se ai saqi
sharab-KHana bana de sharab-KHane ko
ye baada-KHwar jo qaidi hain nashsha-bandi ke
sharab-KHana bana denge qaid-KHane ko
tum apni tegh ke daman ko kyun bhigote ho
jahan mein aur bhi gham hain mere miTane ko
nahin hai waqt abhi sazgar ai 'saghar'
kabhi to hogi meri justuju zamane ko
- Book : Kulliyat-e-Saghar Khayyami (Pg. 432)
- Author : Saghar Khayyami
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd. (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.