Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

yun dil taras raha hai teri car dekh kar

Rauf Raheem

yun dil taras raha hai teri car dekh kar

Rauf Raheem

MORE BYRauf Raheem

    yuuñ dil taras rahā hai tirī car dekh kar

    lalchā.e jaise jaam ko mai-ḳhvār dekh kar

    bālā-e-bām pas-e-dīvār kaun jaa.e

    husn-e-butāñ ko raunaq-e-bāzār dekh kar

    joḌe bhaav chāhiye degrē ke vazn par

    qīmat baḌhā rahā huuñ ḳharīdār dekh kar

    ab rickshaw-rāñ bhī gaate haiñ maḳhdūm ġhazal

    shāyad asar huā hai ye bāzār dekh kar

    donoñ laal ḳhuun bhī kyā ho gayā safed

    laḌte haiñ log sub.ha-o-zunnār dekh kar

    koī fasād chorī Dakaitī na hādisa

    hairān huuñ maiñ aaj aḳhbār dekh kar

    kis samt rahe haiñ batā.ūñ maiñ shaiḳh

    andāza ho chukā hai ye raftār dekh kar

    mulk-e-ḳhudā bhī tang huā pā-e-lang par

    ahl-e-vatan ko bar-sar-e-paikār dekh kar

    ab ai 'rahīm' aap bhī sannyās lījiye

    rahrav chale hai raah ko hamvār dekh kar

    yun dil taras raha hai teri car dekh kar

    lalchae jaise jam ko mai-KHwar dekh kar

    baala-e-baam ya pas-e-diwar kaun jae

    husn-e-butan ko raunaq-e-bazar dekh kar

    joDe ka bhaw chahiye degree ke wazn par

    qimat baDha raha hun KHaridar dekh kar

    ab rickshaw-ran bhi gate hain maKHdum ki ghazal

    shayad asar hua hai ye bazar dekh kar

    donon ka lal KHun bhi kya ho gaya safed

    laDte hain log subha-o-zunnar dekh kar

    koi fasad chori Dakaiti na hadisa

    hairan hun main aaj ka aKHbar dekh kar

    kis samt ja rahe hain bataun main shaiKH ji

    andaza ho chuka hai ye raftar dekh kar

    mulk-e-KHuda bhi tang hua pa-e-lang par

    ahl-e-watan ko bar-sar-e-paikar dekh kar

    ab ai 'rahim' aap bhi sannyas lijiye

    rahraw chale hai rah ko hamwar dekh kar

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now