zalil ho ke to jannat se main nahin aaya
zalīl ho ke to jannat se maiñ nahīñ aayā
ḳhudā ne bhejā hai zillat se maiñ nahīñ aayā
maiñ us ilāqa se aayā huuñ hai jo mardum-ḳhez
dilā.ī laama ke tibbat se maiñ nahīñ aayā
mushā.ira meñ sunūñ kaise sub.h tak ġhazleñ
ki ghar ko chhoḌ ke fursat se maiñ nahīñ aayā
ik aspatāl meñ aayā koī ye kahtī thī
ḳhudā kā shukr hai sūrat se maiñ nahīñ aayā
abhī hudūd-e-adālat meñ kaise dāḳhil huuñ
ki intizām-e-zamānat se maiñ nahīñ aayā
tumhāre ghar meñ maiñ kuudā zarūr huuñ lekin
visāl-osāl kī niyyat se maiñ nahīñ aayā
zalil ho ke to jannat se main nahin aaya
KHuda ne bheja hai zillat se main nahin aaya
main us ilaqa se aaya hun hai jo mardum-KHez
dilai lama ke tibbat se main nahin aaya
mushaira mein sunun kaise subh tak ghazlen
ki ghar ko chhoD ke fursat se main nahin aaya
ek aspatal mein aaya koi ye kahti thi
KHuda ka shukr hai surat se main nahin aaya
abhi hudud-e-adalat mein kaise daKHil hun
ki intizam-e-zamanat se main nahin aaya
tumhaare ghar mein main kuda zarur hun lekin
visal-osal ki niyyat se main nahin aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.