zamana aaya hai be-hijabi ka aam didar-e-yar hoga
zamāna aayā hai be-hijābī kā aam dīdār-e-yār hogā
bas aur kapḌā na sil sakegā jo tan pe hai tār-tār hogā
talāsh-e-gandum ko ghar se niklegā qāfila mor-e-nā-tavāñ kā
palaT ke aayā to sab ke pahlū meñ ik dil-e-dāġh-dār hogā
qasā.ī bakre kā gosht le kar sabhī himāla pe jā chaḌeñge
jo un kā pīchhā karegā ghis-pis ke ek musht ġhubār hogā
miThā.ī assī ruupe kī sair aur lāTrī bhī milā karegī
jo ahd halvā.iyoñ se bāñdhā gayā thā vo ustuvār hogā
chaḌhe gī qīmat vo jūtiyoñ kī na koī un tak pahuñch sakegī
barahna-pā.ī vahī rahegī magar nayā ḳhār-zār hogā
kafan kī qīmat suneñge murde to is ke sadme se jī uTheñge
janāza uTThegā ab kisī kā na ab kisī kā mazār hogā
na pūchho 'akbar' kā kuchh Thikāna abhī vahī kaifiyat hai us kī
yahīñ kahīñ chauk meñ khaḌā qīmatoñ kā shikva-guzār hogā
zamana aaya hai be-hijabi ka aam didar-e-yar hoga
bas aur kapDa na sil sakega jo tan pe hai tar-tar hoga
talash-e-gandum ko ghar se niklega qafila mor-e-na-tawan ka
palaT ke aaya to sab ke pahlu mein ek dil-e-dagh-dar hoga
qasai bakre ka gosht le kar sabhi himala pe ja chaDenge
jo un ka pichha karega ghis-pis ke ek musht ghubar hoga
miThai assi rupe ki sair aur laTri bhi mila karegi
jo ahd halwaiyon se bandha gaya tha wo ustuwar hoga
chaDhe gi qimat wo jutiyon ki na koi un tak pahunch sakegi
barahna-pai wahi rahegi magar naya KHar-zar hoga
kafan ki qimat sunenge murde to is ke sadme se ji uThenge
janaza uTThega ab kisi ka na ab kisi ka mazar hoga
na puchho 'akbar' ka kuchh Thikana abhi wahi kaifiyat hai us ki
yahin kahin chauk mein khaDa qimaton ka shikwa-guzar hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.