zamin-e-zarafat
mire dil meñ achānak ye ḳhayāl aayā
zarāfat kī zamīñ banjar paḌī hai
maiñ is kī ābyārī kar ke dekhūñ
zarā nam ho to shāyad ye bahut zarḳhez ho jaa.e
ye merī arq-rezī se to kuchh nam ho ga.ī hai
ab is banjar zamīñ meñ ḳhvāh-maḳhvāh meñ
tabassum ke jo thoḌe biij bo.e jā rahā huuñ
kal in meñ se hañsī kī
nannhī koñpleñ hans hans ke phūTeñgī
phir in hī koñpaloñ meñ
qahqahoñ ke phuul ā.eñge
kuchh aise phuul bhī the
jo khilā karte the pahle bhī
magar vāqif na the
ḳhud apnī bhīnī bhīnī ḳhushbū se
salīqa siikh jā.egī havā bhī dhīre dhīre
ki kaise chūmte haiñ
adh-khilī kaliyoñ ko phūloñ ko
chaman meñ bulbuloñ kā aur bhañvaroñ hī kā raaj hogā
ijāzat hī na hogī dāḳhle kī tab bagūloñ ko
chalegī jab havā sher-o-suḳhan kī
hañsī aur qahqahoñ ke phuul apne sar hilā kar
kuchh is andāz se vo daad deñge ahl-e-fan ko
fazā meñ bhīnī bhīnī un kī ḳhushbū phail jā.egī
aur is tarah zarāfat kī vahī banjar zamīñ bhī
ik hañste khilkhilāte aur ḳhushbū se mo.attar
sarāsar ḳhitta-e-sarsabz-o-shādāb ban kar
dukhī āzurda-ḳhātir ġham ke māroñ ko
hañsī aur qahqahoñ kī ne.amatoñ se
sab ko mālā-māl kar degī
isī tarah jahāñ tak ho sakegā
masarrat aur ḳhushī ke giit naġhme
milā kar un ke sur meñ apnā sur gā.uñgā maiñ bhī
savāb-e-jāriya pā.ūñgā maiñ bhī
mere dil mein achanak ye KHayal aaya
zarafat ki zamin banjar paDi hai
main is ki aabyari kar ke dekhun
zara nam ho to shayad ye bahut zarKHez ho jae
ye meri arq-rezi se to kuchh nam ho gai hai
ab is banjar zamin mein KHwah-maKHwah mein
tabassum ke jo thoDe bij boe ja raha hun
kal in mein se hansi ki
nannhi konplen hans hans ke phuTengi
phir in hi konpalon mein
qahqahon ke phul aaenge
kuchh aise phul bhi the
jo khila karte the pahle bhi
magar waqif na the
KHud apni bhini bhini KHushbu se
saliqa sikh jaegi hawa bhi dhire dhire
ki kaise chumte hain
adh-khili kaliyon ko phulon ko
chaman mein bulbulon ka aur bhanwaron hi ka raj hoga
ijazat hi na hogi daKHle ki tab bagulon ko
chalegi jab hawa sher-o-suKHan ki
hansi aur qahqahon ke phul apne sar hila kar
kuchh is andaz se wo dad denge ahl-e-fan ko
faza mein bhini bhini un ki KHushbu phail jaegi
aur is tarah zarafat ki wahi banjar zamin bhi
ek hanste khilkhilate aur KHushbu se moattar
sarasar KHitta-e-sarsabz-o-shadab ban kar
dukhi aazurda-KHatir gham ke maron ko
hansi aur qahqahon ki neamaton se
sab ko mala-mal kar degi
isi tarah jahan tak ho sakega
masarrat aur KHushi ke git naghme
mila kar un ke sur mein apna sur gaunga main bhi
sawab-e-jariya paunga main bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.