zara si mashq kare be-zamir ban jae
zarā sī mashq kare be-zamīr ban jaa.e
to kyā ajab hai ki insāñ vazīr ban jaa.e
jo kām-chor ho bachche kirā.e par le le
unheñ sadā.eñ sikhā le faqīr ban jaa.e
javān-e-rind jo ho rozgār se mahrūm
murīd majmā kare aur piir ban jaa.e
kuchh ishtihār hoñ kuchh pagḌiyāñ uchhālne ko
ye ḳhāksār bhī phir to mudīr ban jaa.e
vo bad-gumāñ haiñ vilāyat kī laḌkiyoñ se bahut
hai Dar unheñ ki na shauhar safīr ban jaa.e
zara si mashq kare be-zamir ban jae
to kya ajab hai ki insan wazir ban jae
jo kaam-chor ho bachche kirae par le le
unhen sadaen sikha le faqir ban jae
jawan-e-rind jo ho rozgar se mahrum
murid majma kare aur pir ban jae
kuchh ishtihaar hon kuchh pagDiyan uchhaalne ko
ye KHaksar bhi phir to mudir ban jae
wo bad-guman hain wilayat ki laDkiyon se bahut
hai Dar unhen ki na shauhar safir ban jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.